barish
aa ga.ī ThanDī havā barsāt kī
chhā ga.ī kaalī ghaTā barsāt kī
ab kahāñ sūraj kī garmī kā vo josh
chhup gayā bādal kā sunte hī ḳharosh
dal ke dal bādal umañD kar aa ga.e
aur saare āsmāñ par chhā ga.e
abr ke saa.e meñ hai saarī zamīñ
dūsre saa.e kī ab hājat nahīñ
ho ga.e aise meñ sab jāñ-dār ḳhush
lahlahātā sabza ḳhush ashjār ḳhush
sun ke bārish kī masarrat kā payām
jhūmte mastī meñ haiñ paude tamām
sab parinde chahchahāte phirte haiñ
hai ḳhushī itnī ki gaate phirte haiñ
ai lo vo garjā vo aa.iiñ būñdiyāñ
diid ke qābil hai ye pyārā samāñ
ḳhūbsūrat kis qadar hai ye phuvār
motiyoñ ke haar meñ qatroñ ke taar
meñh barasne kī jo aatī hai sadā
is se ho jaatā hai paidā giit sā
lo vo chhīñTe zor se aane lage
paanī par naale bhī barsāne lage
vo garaj bādal kī vo bārish kā zor
shahr kī galiyoñ meñ vo bachchoñ kā shor
be-tahāshā dauḌte phirte haiñ ye
uTh khaḌe hote haiñ jab girte haiñ ye
naav kāġhaz kī banātā hai koī
giit sāvan ke sunātā hai koī
jab phisal jaatā hai koī rāhgīr
pīTte haiñ tāliyāñ ban kar sharīr
vo galī kūchoñ se paanī bah chalā
ye kahāñ pahuñchegā batlāo bhalā
ye Thahar saktā nahīñ hai shahr meñ
shahr se jā kar giregā nahr meñ
jā giregī nahr dariyā meñ kahīñ
bastiyoñ se duur sahrā meñ kahīñ
saath ye sarmāya sab dariyā liye
jā.egā rasta samundar kā liye
tai safar kartā huā lail-o-nahār
bahr meñ mil jā.egā anjām-e-kār
aa gai ThanDi hawa barsat ki
chha gai kali ghaTa barsat ki
ab kahan suraj ki garmi ka wo josh
chhup gaya baadal ka sunte hi KHarosh
dal ke dal baadal umanD kar aa gae
aur sare aasman par chha gae
abr ke sae mein hai sari zamin
dusre sae ki ab hajat nahin
ho gae aise mein sab jaan-dar KHush
lahlahata sabza KHush ashjar KHush
sun ke barish ki masarrat ka payam
jhumte masti mein hain paude tamam
sab parinde chahchahate phirte hain
hai KHushi itni ki gate phirte hain
ai lo wo garja wo aain bundiyan
did ke qabil hai ye pyara saman
KHubsurat kis qadar hai ye phuwar
motiyon ke haar mein qatron ke tar
meinh barasne ki jo aati hai sada
is se ho jata hai paida git sa
lo wo chhinTe zor se aane lage
pani par nale bhi barsane lage
wo garaj baadal ki wo barish ka zor
shahr ki galiyon mein wo bachchon ka shor
be-tahasha dauDte phirte hain ye
uTh khaDe hote hain jab girte hain ye
naw kaghaz ki banata hai koi
git sawan ke sunata hai koi
jab phisal jata hai koi rahgir
piTte hain taliyan ban kar sharir
wo gali kuchon se pani bah chala
ye kahan pahunchega batlao bhala
ye Thahar sakta nahin hai shahr mein
shahr se ja kar girega nahr mein
ja giregi nahr dariya mein kahin
bastiyon se dur sahra mein kahin
sath ye sarmaya sab dariya liye
jaega rasta samundar ka liye
tai safar karta hua lail-o-nahaar
bahr mein mil jaega anjam-e-kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.