bādal kī dhutkārī bārish
rotī phirtī hai
shānoñ pe dahakte sahrāoñ kā ġham
Dhotī phirtī hai
vo tiira pahnā.ī meñ
saarī raat bhaTaktī hai
rah rah ke us ke siine meñ
bijlī kī yaad taḌaptī hai
qahr se us ko kaale bādal
ghūrte rahte haiñ
us ke motī jaise aañsū
parnāloñ meñ bahte haiñ
baadal ki dhutkari barish
roti phirti hai
shanon pe dahakte sahraon ka gham
Dhoti phirti hai
wo tera pahnai mein
sari raat bhaTakti hai
rah rah ke us ke sine mein
bijli ki yaad taDapti hai
qahr se us ko kale baadal
ghurte rahte hain
us ke moti jaise aansu
parnalon mein bahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.