barish dekhti hai
bārish dekhtī hai ki use kahāñ barasnā hai
aur dhuup jāntī hai ki use kahāñ nahīñ jaanā
magar vo jaatī hai aur shikār hotī hai
aur kāñToñ meñ phañs kar baT jaatī hai
aur ret ke zarroñ kī tarah
zamīn se uThā.ī nahīñ jaatī
raat samajhtī hai aur samajh kar ḳhāmosh rahtī hai
sirf apne konoñ par girheñ lagātī rahtī hai
aur kahtī hai
aa mil Dholan yaar kadī
kedāre ke tāne-bāne meñ
dekh to maiñ ne kyā bunā hai
ek phūlban! ek rās-ban
aur ab
dhāre dhāre chalī jaatī huuñ maiñ
ban biich utrūñ, kāñTe rañg duuñ?
dhāre dhāre bahī jaatī huuñ
aur bhed nahīñ paatī huuñ
na pal chhan kā
na yugoñ yugoñ ke antar kā
tum sundar gyānī shānt hue
mohe apnī siit karo svāmī
sab chiḌiyāñ ik sañg boltī haiñ
mohe apnī siit karo svāmī aur duur kahīñ uḌ jaatī haiñ
maiñ apne har ik kone par chālīs girheñ lagvātī huuñ
tan joñk joñk Dasvātī huuñ
aur dhuup ko ye ma.alūm nahīñ
kab mujh par saaya karnā hai! kab mujh ko raushan karnā hai
kab merī ḳhaak uḌānī hai
kab mere añg añg bharnā hai
maiñ gaThrī giile kapḌoñ kī
kis ghaaT mujhe ab dharnā hai!
barish dekhti hai ki use kahan barasna hai
aur dhup jaanti hai ki use kahan nahin jaana
magar wo jati hai aur shikar hoti hai
aur kanTon mein phans kar baT jati hai
aur ret ke zarron ki tarah
zamin se uThai nahin jati
raat samajhti hai aur samajh kar KHamosh rahti hai
sirf apne konon par girhen lagati rahti hai
aur kahti hai
aa mil Dholan yar kadi
kedare ke tane-bane mein
dekh to main ne kya buna hai
ek phulban! ek ras-ban
aur ab
dhaare dhaare chali jati hun main
ban bich utrun, kanTe rang dun?
dhaare dhaare bahi jati hun
aur bhed nahin pati hun
na pal chhan ka
na yugon yugon ke antar ka
tum sundar gyani shant hue
mohe apni sit karo swami
sab chiDiyan ek sang bolti hain
mohe apni sit karo swami aur dur kahin uD jati hain
main apne har ek kone par chaalis girhen lagwati hun
tan jonk jonk Daswati hun
aur dhup ko ye malum nahin
kab mujh par saya karna hai! kab mujh ko raushan karna hai
kab meri KHak uDani hai
kab mere ang ang bharna hai
main gaThri gile kapDon ki
kis ghaT mujhe ab dharna hai!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 539)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.