barish ka pahla qatra
ghanghor ghaTā tulī khaḌī thī
par buuñd abhī nahīñ paḌī thī
har qatra ke dil meñ thā ye ḳhatra
nāchīz huuñ maiñ ġharīb qatra
tar mujh se kisī kā lab na hogā
maiñ aur kī guuñ na aap jogā
kyā khet kī maiñ bujhā.ūñgā pyaas
apnā hī karūñgā satyānās
ḳhālī hāthoñ se kyā saḳhāvat
phīkī bātoñ meñ kyā halāvat
kis birte pe maiñ karūñ dilerī
maiñ kaun huuñ kyā bisāt merī
har qatra ke dil meñ thā yahī ġham
sargoshiyāñ ho rahī thiiñ bāham
khichḌī sī ghaTā meñ pak rahī thī
kuchh kuchh bijlī chamak rahī thī
ik qatra ki thā baḌā dilāvar
himmat ke muhīt kā shanāvar
faiyyaz o javvād o nek-niyyat
bhaḌkī us kī rag-e-hamiyyat
bolā lalkār kar ki aao!
mere pīchhe qadam baḌhāo
kar guzro jo ho sake kuchh ehsān
Daalo murda zamīn meñ jaan
yāro! ye hachar-machar kahāñ tak
apnī sī karo bane jahāñ tak
mil kar jo karoge jāñ-fishānī
maidān pe pher doge paanī
kahtā huuñ ye sab se barmalā maiñ
aate ho to aao lo chalā maiñ
ye kah ke vo ho gayā ravāna
''dushvār hai jī pe khel jānā''
har-chand ki thā vo be-bizā.at
kī us ne magar baḌī shujā.at
dekhī jur.at jo us sakhī kī
do-chār ne aur pairvī kī
phir ek ke ba.ad ek lapkā
qatra qatra zamīñ pe Tapkā
āḳhir qatroñ kā bañdh gayā taar
bārish lagī hone moslā-dhār
paanī paanī huā bayābāñ
sairāb hue chaman ḳhayābāñ
thī qaht se pā.emāl ḳhilqat
is meñh se huī nihāl ḳhilqat
jur.at qatra kī kar ga.ī kaam
baaqī hai jahāñ meñ aaj tak naam
ai sāhibo! qaum kī ḳhabar lo
qatroñ kā sā ittifāq kar lo
qatroñ hī se hogī nahr jaarī
chal nikleñgī kashtiyāñ tumhārī
ghanghor ghaTa tuli khaDi thi
par bund abhi nahin paDi thi
har qatra ke dil mein tha ye KHatra
nachiz hun main gharib qatra
tar mujh se kisi ka lab na hoga
main aur ki gun na aap joga
kya khet ki main bujhaunga pyas
apna hi karunga satyanas
KHali hathon se kya saKHawat
phiki baaton mein kya halawat
kis birte pe main karun dileri
main kaun hun kya bisat meri
har qatra ke dil mein tha yahi gham
sargoshiyan ho rahi thin baham
khichDi si ghaTa mein pak rahi thi
kuchh kuchh bijli chamak rahi thi
ek qatra ki tha baDa dilawar
himmat ke muhit ka shanawar
faiyyaz o jawwad o nek-niyyat
bhaDki us ki rag-e-hamiyyat
bola lalkar kar ki aao!
mere pichhe qadam baDhao
kar guzro jo ho sake kuchh ehsan
Dalo murda zamin mein jaan
yaro! ye hachar-machar kahan tak
apni si karo bane jahan tak
mil kar jo karoge jaan-fishani
maidan pe pher doge pani
kahta hun ye sab se barmala main
aate ho to aao lo chala main
ye kah ke wo ho gaya rawana
dushwar hai ji pe khel jaana
har-chand ki tha wo be-bizaat
ki us ne magar baDi shujaat
dekhi jurat jo us sakhi ki
do-chaar ne aur pairwi ki
phir ek ke baad ek lapka
qatra qatra zamin pe Tapka
aaKHir qatron ka bandh gaya tar
barish lagi hone mosla-dhaar
pani pani hua bayaban
sairab hue chaman KHayaban
thi qaht se paemal KHilqat
is meinh se hui nihaal KHilqat
jurat qatra ki kar gai kaam
baqi hai jahan mein aaj tak nam
ai sahibo! qaum ki KHabar lo
qatron ka sa ittifaq kar lo
qatron hi se hogi nahr jari
chal niklengi kashtiyan tumhaari
- Book : intekhab-e-sukhan (Pg. 48)
- Author : Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya (2005-2008)
- Edition : 2005-2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.