barish rahmat hai ya zahmat
bādal jab ghir kar aate haiñ
mere abbū Dar jaate haiñ
vo kahte haiñ dekho beTe
bārish rahmat to hai be-shak
kuchh mujh ko inkār nahīñ hai
chhat bhī maiñ banvā luñgā aur
chhātā bhī le ā.ūñgā maiñ
lekin ye galiyoñ saḌkoñ par
jo paanī bhar jaatā hai
taḌpā jaatā hai ye mujh ko
is kā kuchh hal bhī to hogā
maiñ ne jab pūchhā
to bole
aao ham sab pahle raah pe aa.eñ
matlab ye ki
paanī ke bahne kī koī raah nikāleñ
gar aisā ho jaa.e to phir
bārish rahmat hī rahmat hai
baadal jab ghir kar aate hain
mere abbu Dar jate hain
wo kahte hain dekho beTe
barish rahmat to hai be-shak
kuchh mujh ko inkar nahin hai
chhat bhi main banwa lunga aur
chhata bhi le aaunga main
lekin ye galiyon saDkon par
jo pani bhar jata hai
taDpa jata hai ye mujh ko
is ka kuchh hal bhi to hoga
main ne jab puchha
to bole
aao hum sab pahle rah pe aaen
matlab ye ki
pani ke bahne ki koi rah nikalen
gar aisa ho jae to phir
barish rahmat hi rahmat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.