barish
tū āfāq se qatra qatra girtī hai
sannāTe ke ziine se
is dhartī ke siine meñ
tū tārīḳh ke aivānoñ meñ dar aatī hai
aur bahā le jaatī hai
jazboñ aur īmānoñ ko
maile dastar-ḳhvānoñ ko
tū jab banjar dhartī ke māthe ko bosa detī hai
kitnī soī āñkheñ karvaT letī haiñ
tū aatī hai
aur tirī aamad ke nam se
pyāse bartan bhar jaate haiñ
tere haath baḌhe aate haiñ
gadlī nīndeñ le jaate haiñ
terī lambī poroñ se
diloñ meñ girheñ khul jaatī haiñ
kaalī rāteñ dhul jaatī haiñ
tū aatī hai
pāgal āvāzoñ kā kīchaḌ
saḌkoñ par uḌne lagtā hai
tū aatī hai
aur uḌā le jaatī hai
ḳhāmoshī ke ḳhemoñ ko
aur hoñToñ kī shāḳhoñ par
motī Dolne lagte haiñ
panchhī bolne lagte haiñ
tū jab band kivāḌoñ meñ aur diloñ par dastak detī hai
saarī bāteñ kah jaane ko jī kartā hai
tere saath hī
bah jaane ko jī kartā hai
tu aafaq se qatra qatra girti hai
sannaTe ke zine se
is dharti ke sine mein
tu tariKH ke aiwanon mein dar aati hai
aur baha le jati hai
jazbon aur imanon ko
maile dastar-KHwanon ko
tu jab banjar dharti ke mathe ko bosa deti hai
kitni soi aankhen karwaT leti hain
tu aati hai
aur teri aamad ke nam se
pyase bartan bhar jate hain
tere hath baDhe aate hain
gadli ninden le jate hain
teri lambi poron se
dilon mein girhen khul jati hain
kali raaten dhul jati hain
tu aati hai
pagal aawazon ka kichaD
saDkon par uDne lagta hai
tu aati hai
aur uDa le jati hai
KHamoshi ke KHemon ko
aur honTon ki shaKHon par
moti Dolne lagte hain
panchhi bolne lagte hain
tu jab band kiwaDon mein aur dilon par dastak deti hai
sari baaten kah jaane ko ji karta hai
tere sath hi
bah jaane ko ji karta hai
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 42)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.