chalo mil-jul ke ham rishtoñ ke bāsī-pan kā hal socheñ
achānak phir usī andāz se nazreñ milīñ apnī
jab ham ne pahle pahle ek-dūje ko sarāhā thā
sahm jaa.eñ ye apnī un tamannāoñ kī aahaT se
dhaḌakte dil se jab ham ne koī sapnā sajāyā thā
vo hī be-sāḳhta sī sādgī ke pal ji.eñ phir se
vafā kā yā jafā kā zikr thā na naam rishtoñ kā
mahak thī ik kashish thī ajnabī-pan kī fazāoñ meñ
hare ik jhoñke meñ aatā thā koī paiġhām rishtoñ kā
sabhī kuchh ham samajh baiTheñ haiñ aao ye bharam toḌeñ
kisī kone meñ to hogā koī ehsās an-jānā
adhūrā an-chuā sā an-sunā sā aur an-dekhā
hamārī raah taktā hogā koī moḌ dīvāna
chalo mil-jul ke ham rishtoñ ke bāsī-pan kā hal socheñ
chalo mil-jul ke hum rishton ke basi-pan ka hal sochen
achanak phir usi andaz se nazren milin apni
jab hum ne pahle pahle ek-duje ko saraha tha
sahm jaen ye apni un tamannaon ki aahaT se
dhaDakte dil se jab hum ne koi sapna sajaya tha
wo hi be-saKHta si sadgi ke pal jien phir se
wafa ka ya jafa ka zikr tha na nam rishton ka
mahak thi ek kashish thi ajnabi-pan ki fazaon mein
hare ek jhonke mein aata tha koi paigham rishton ka
sabhi kuchh hum samajh baiThen hain aao ye bharam toDen
kisi kone mein to hoga koi ehsas an-jaana
adhura an-chua sa an-suna sa aur an-dekha
hamari rah takta hoga koi moD diwana
chalo mil-jul ke hum rishton ke basi-pan ka hal sochen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.