baat
baat jo kahī us ne
baat jo sunī maiñ ne
umr-bhar kā hāsil thī
phir bhī dil ye kahtā thā
aaj jo sunā tum ne
aaj jo kahā us ne
kal vo bhuul saktā hai
laakh vo tumheñ chāhe
pyaar kī qasam khaa.e
āḳhirash to insāñ hai
vo bhī jāntā hogā
ḳhvāb jo bune tum ne
TuuT bhī to sakte haiñ
tum jo aaj shādāñ ho
kal udaas jab honā
mujh ko yaad kar lenā
baat jo kahi us ne
baat jo suni main ne
umr-bhar ka hasil thi
phir bhi dil ye kahta tha
aaj jo suna tum ne
aaj jo kaha us ne
kal wo bhul sakta hai
lakh wo tumhein chahe
pyar ki qasam khae
aaKHirash to insan hai
wo bhi jaanta hoga
KHwab jo bune tum ne
TuT bhi to sakte hain
tum jo aaj shadan ho
kal udas jab hona
mujh ko yaad kar lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.