baaten pagal ho jati hain
merī band galī ke saare ghar
kitne ajiib se lagte haiñ
mehrābī darvāze
jaise melancholia kī bīmārī meñ
dhīre dhīre marte shaḳhs kī
kīch-bharī āñkheñ huuñ
aage baḌhī huī balconiyāñ
jaise ahmaq aur havannaq logoñ kī
laTkī huī thoḌiyāñ hotī haiñ
ik duuje meñ uljhe
baiThak āñgan sone vaale kamre
aur rasoīyāñ
saarā yuuñ lagtā hai
jaise ik pāgal kī gunjal socheñ hoñ
un ke andar rahne vaale
jaise
maiñ bhī kyā pāgal huuñ
kyā kyā sochtā rahtā huuñ
meri band gali ke sare ghar
kitne ajib se lagte hain
mehrabi darwaze
jaise melancholia ki bimari mein
dhire dhire marte shaKHs ki
kich-bhari aankhen hun
aage baDhi hui balconiyan
jaise ahmaq aur hawannaq logon ki
laTki hui thoDiyan hoti hain
ek duje mein uljhe
baiThak aangan sone wale kamre
aur rasoiyan
sara yun lagta hai
jaise ek pagal ki gunjal sochen hon
un ke andar rahne wale
jaise
main bhi kya pagal hun
kya kya sochta rahta hun
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 76)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
- Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.