baz-dasht
rā.egāñ vaqt ke sannāTe meñ
ek āvāz thī piilī āvāz
koī dhaḌkan thī guzishta-dil kī
gurba-e-shab kī chamaktī āñkheñ
taak meñ thiiñ ki kahīñ se nikle
mosh-e-be-ḳhvāb koī
band āseb-zada darvāze
aap hī aap khule band hue
hujra-e-tār meñ jaise koī
ruuh bhaTkī huī dar aa.ī thī
ruuh kab thī vo nirī ḳhvāhish thī
aag thī
aag piine kī havas jaag uThī
rā.egāñ vaqt ke sannāTe meñ
raegan waqt ke sannaTe mein
ek aawaz thi pili aawaz
koi dhaDkan thi guzishta-dil ki
gurba-e-shab ki chamakti aankhen
tak mein thin ki kahin se nikle
mosh-e-be-KHwab koi
band aaseb-zada darwaze
aap hi aap khule band hue
hujra-e-tar mein jaise koi
ruh bhaTki hui dar aai thi
ruh kab thi wo niri KHwahish thi
aag thi
aag pine ki hawas jag uThi
raegan waqt ke sannaTe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.