baz-did
tum jo aao to dhundalke meñ lapaT kar aao
phir vahī kaif sar-e-shām liye
jab larazte haiñ sadāoñ ke simaTte saa.e
aur āñhkeñ ḳhalish-e-hasrat-e-nākām liye
har guzarte hue lamhe ko takā kartī haiñ
ḳhud-farebī se ham-āġhosh rahā kartī haiñ
tum jo aao to añdhere meñ lapaT kar aao
shabnamī shīshoñ ko sahlā.eñ lachaktī shāḳheñ
aur mahtāb-e-zamistāñ koī paiġhām liye
yuuñ chalā aa.e ki dar baaz na ho
koī āvāz na ho
tum jo aao to ujāle meñ lapaT kar aao
phir vahī lazzat-e-anjām liye
jab tamannā.eñ kisī ḳhauf se chīḳh uThtī haiñ
aur ḳhāmoshī-e-lab saikḌoñ ib.hām liye
ek sañgīn haqīqat meñ badal jaatī hai
zindagī dard meñ Dhal jaatī hai
tum jo aao to dhundalke mein lapaT kar aao
phir wahi kaif sar-e-sham liye
jab larazte hain sadaon ke simaTte sae
aur aanhken KHalish-e-hasrat-e-nakaam liye
har guzarte hue lamhe ko taka karti hain
KHud-farebi se ham-aghosh raha karti hain
tum jo aao to andhere mein lapaT kar aao
shabnami shishon ko sahlaen lachakti shaKHen
aur mahtab-e-zamistan koi paigham liye
yun chala aae ki dar baz na ho
koi aawaz na ho
tum jo aao to ujale mein lapaT kar aao
phir wahi lazzat-e-anjam liye
jab tamannaen kisi KHauf se chiKH uThti hain
aur KHamoshi-e-lab saikDon ibham liye
ek sangin haqiqat mein badal jati hai
zindagi dard mein Dhal jati hai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 339)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.