baz did
vo sūraj kī pahlī kiran le ke apne gharoñ se chale jab
to chehre gulāboñ kī sūrat khile the
jabīnoñ pe sajdoñ kī tābindagī thī
libāsoñ kī shā.istagī zeb-e-tan thī
nigāhoñ meñ shauq-e-safar kī chamak
aur qadmoñ meñ thī ābshāroñ kī mastī
mujhe yuuñ lagā zindagī
āsmānoñ pe gaayā huā giit dohrā rahī hai
sar-e-shām sūraj kī Dhaltī kiran
saath apne liye jab gharoñ ko vo lauTe
to chehroñ kī laalī
libāsoñ kī shā.istagī mar chukī thī
nigāhoñ meñ gahrī thakan thī
jo qadmoñ se Takrā rahī thī
mujhe yuuñ lagā zindagī
phir gunāhoñ kī pādāsh meñ
āsmāñ kī hadoñ se nikālī ga.ī hai
wo suraj ki pahli kiran le ke apne gharon se chale jab
to chehre gulabon ki surat khile the
jabinon pe sajdon ki tabindagi thi
libason ki shaistagi zeb-e-tan thi
nigahon mein shauq-e-safar ki chamak
aur qadmon mein thi aabshaaron ki masti
mujhe yun laga zindagi
aasmanon pe gaya hua git dohra rahi hai
sar-e-sham suraj ki Dhalti kiran
sath apne liye jab gharon ko wo lauTe
to chehron ki lali
libason ki shaistagi mar chuki thi
nigahon mein gahri thakan thi
jo qadmon se Takra rahi thi
mujhe yun laga zindagi
phir gunahon ki padash mein
aasman ki hadon se nikali gai hai
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-271 p-259)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.