baz-gasht
naġhma-zār-e-dard kī jānib chale ham
ek bhī zarra na kuchlā jaa.e is raftār se
naġhma-zār-e-dard kī jānib chale ham
kunj meñ peḌoñ ke sūraj jhāñktā thā
kohsāroñ sabza-zāroñ meñ jhamaktī raushnī kā jashn thā
jashn jaarī hī rahegā tā-abad
jaarī rahe
naġhma-zār-e-dard kī jānib chale ham
lāl-o-marmar se guñdhā qālib
aur is ke mehvar us ke qarīb
bijliyoñ jaisā musaffā ik vajūd
chār-sū bikhre hue ḳhāmosh suune āsmāñ
ham kahāñ haiñ ham kahāñ naġhma-zār-e-dard hai ye ham kahāñ
itnā be-āvāz jaise
aatmā apnī shuā.eñ
reshe reshe se badan ke khīñch le
āhistagī se be-gazand
aur duurī be-fuġhāñ ho jism kī aur ruuh kī
kyā subuk-raftār kar detī hai ham ko be-dilī be-hāsilī
jaise ik bādal kā TukḌā
apnī chhāgal pheñk de ūñchī fazā meñ
pyāse zarroñ kī taraf
phir halke-phulke pañkh phailā.e uḌe
halkore le
ik miTtī bantī rañg kī tahrīr sī
sairāb zarre us ko dekheñ
aur pukār uTTheñ
vo kafūrī sā sho.ala azmat-e-nā-ras
davām-e-dard hai vo surḳh nirmal raushnī
lo saañs ke sar-chashme sūkhe har shikāyat miT ga.ī
kyā shikāyat saañs ke sar-chashma se un ko rahī
jo saañs lete haiñ yahāñ
mauj-e-be-hañgām ḳhanda
kaise phūTī mere lab se
koī shaktī ham meñ hai
jo yuuñ hameñ pāmāl kar hañs sake
ye hameñ āġhāz hī se ḳhatm karne par tulī thī
chāhe phir ḳhud hī mujāvir ban sake anjām-kār
ehtijāj us kā jo ik shaktī hai mujh meñ
kis qadar pur-shor hai
kis qadar pur-zor hai
naġhma-zār-e-dard se aage liye jaatā mujh ko
in fazāoñ meñ jahāñ
bāzgasht ik giit ban jaatī hai us kī
jaise sab Tiile chaTāneñ aur kuhistāñ
saañs ke chashme meñ shāmil haiñ
dhaḌakte zī-nafas aur ham-navā
naghma-zar-e-dard ki jaanib chale hum
ek bhi zarra na kuchla jae is raftar se
naghma-zar-e-dard ki jaanib chale hum
kunj mein peDon ke suraj jhankta tha
kohsaron sabza-zaron mein jhamakti raushni ka jashn tha
jashn jari hi rahega ta-abad
jari rahe
naghma-zar-e-dard ki jaanib chale hum
lal-o-marmar se gundha qalib
aur is ke mehwar us ke qarib
bijliyon jaisa musaffa ek wajud
chaar-su bikhre hue KHamosh sune aasman
hum kahan hain hum kahan naghma-zar-e-dard hai ye hum kahan
itna be-awaz jaise
aatma apni shuaen
reshe reshe se badan ke khinch le
aahistagi se be-gazand
aur duri be-fughan ho jism ki aur ruh ki
kya subuk-raftar kar deti hai hum ko be-dili be-hasili
jaise ek baadal ka TukDa
apni chhagal phenk de unchi faza mein
pyase zarron ki taraf
phir halke-phulke pankh phailae uDe
halkore le
ek miTti banti rang ki tahrir si
sairab zarre us ko dekhen
aur pukar uTThen
wo kafuri sa shoala azmat-e-na-ras
dawam-e-dard hai wo surKH nirmal raushni
lo sans ke sar-chashme sukhe har shikayat miT gai
kya shikayat sans ke sar-chashma se un ko rahi
jo sans lete hain yahan
mauj-e-be-hangam KHanda
kaise phuTi mere lab se
koi shakti hum mein hai
jo yun hamein pamal kar hans sake
ye hamein aaghaz hi se KHatm karne par tuli thi
chahe phir KHud hi mujawir ban sake anjam-kar
ehtijaj us ka jo ek shakti hai mujh mein
kis qadar pur-shor hai
kis qadar pur-zor hai
naghma-zar-e-dard se aage liye jata mujh ko
in fazaon mein jahan
bazgasht ek git ban jati hai us ki
jaise sab Tile chaTanen aur kuhistan
sans ke chashme mein shamil hain
dhaDakte zi-nafas aur ham-nawa
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 41)
- Author : Shafique Fatma Shora
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.