bazar se aae hain
bāzār se aa.e haiñ
chīnī se banā.e haiñ
mīThe haiñ karāre haiñ
le lo ye batāshe haiñ
gumbad se ye lagte haiñ
uble hue anDe haiñ
jo biich se kaaTe haiñ
le lo ye batāshe haiñ
rañg ruuī sā in kā hai
halvā.ī ne dhunkā hai
schōl meñ bāñTe haiñ
le lo ye batāshe haiñ
muñh meñ inheñ rakkho to
in kā maza chakkho to
ye khel tamāshe haiñ
le lo ye batāshe haiñ
bazar se aae hain
chini se banae hain
miThe hain karare hain
le lo ye batashe hain
gumbad se ye lagte hain
uble hue anDe hain
jo bich se kaTe hain
le lo ye batashe hain
rang rui sa in ka hai
halwai ne dhunka hai
school mein banTe hain
le lo ye batashe hain
munh mein inhen rakkho to
in ka maza chakkho to
ye khel tamashe hain
le lo ye batashe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.