bazar
is qadar shoḳh nigāhoñ se na dekho mujh ko
ġhairat-e-husn pe ilzām na aa jaa.e kahīñ
tum ne ḳhud bhī nahīñ samjhā hai abhī tak jis ko
lab pe vo ḳhvāhish be-nām na aa jaa.e kahīñ
ye jo ma.asūm tamannā hai tumhāre dil meñ
kitnī sañgīn ḳhatā hai ye tumheñ kyā mālūm
aur duniyā meñ mohabbat ke ḳhatā-kāroñ par
kis qadar zulm huā hai ye tumheñ kyā mālūm
apnī bosīda rivāyāt ke vīrānoñ meñ
tishna rūhoñ ko bhaTakte nahīñ dekhā tum ne
apnī tahzīb ke tārīk sitam-ḳhānoñ meñ
ārzūoñ ko sisakte nahīñ dekhā tum ne
kitnī lāsheñ haiñ pas-e-madfan-e-nāmūs yahāñ
apne ajdād kī tārīḳh uThā kar dekho
zīnat-ḳhāna jo be-rūh sī tasvīreñ haiñ
chīḳh uTTheñgī zarā haath lagā kar dekho
apnī duniyā to tijārat kī vo manDī hai jahāñ
jism kī baat hī kyā ruuh bhī bik jaatī hai
daam lag jaa.eñ to kyā ishva-o-andāz-o-adā
pyaar sī shai sar-e-bāzār chalī aatī hai
tum ko bhī ek na ik din yūñhī biknā hogā
apne nāmūs kī derīna rivāyat ke liye
koī tājir tumheñ bāzār se le jā.egā
apnī bāñhoñ meñ ghaḌī bhar kī harārat ke liye
lauT jaao ki yahāñ pyaar kā hāsil kyā hai
nāla-e-shab ke sivā āh-e-sahar dam ke sivā
aur kyā degā zamāna tumheñ in.ām-e-vafā
ātish-e-ġham ke sivā dīda-pur-nam ke sivā
is qadar shoKH nigahon se na dekho mujh ko
ghairat-e-husn pe ilzam na aa jae kahin
tum ne KHud bhi nahin samjha hai abhi tak jis ko
lab pe wo KHwahish be-nam na aa jae kahin
ye jo masum tamanna hai tumhaare dil mein
kitni sangin KHata hai ye tumhein kya malum
aur duniya mein mohabbat ke KHata-karon par
kis qadar zulm hua hai ye tumhein kya malum
apni bosida riwayat ke viranon mein
tishna ruhon ko bhaTakte nahin dekha tum ne
apni tahzib ke tarik sitam-KHanon mein
aarzuon ko sisakte nahin dekha tum ne
kitni lashen hain pas-e-madfan-e-namus yahan
apne ajdad ki tariKH uTha kar dekho
zinat-KHana jo be-ruh si taswiren hain
chiKH uTThengi zara hath laga kar dekho
apni duniya to tijarat ki wo manDi hai jahan
jism ki baat hi kya ruh bhi bik jati hai
dam lag jaen to kya ishwa-o-andaz-o-ada
pyar si shai sar-e-bazar chali aati hai
tum ko bhi ek na ek din yunhi bikna hoga
apne namus ki derina riwayat ke liye
koi tajir tumhein bazar se le jaega
apni banhon mein ghaDi bhar ki hararat ke liye
lauT jao ki yahan pyar ka hasil kya hai
nala-e-shab ke siwa aah-e-sahar dam ke siwa
aur kya dega zamana tumhein inam-e-wafa
aatish-e-gham ke siwa dida-pur-nam ke siwa
- Book : Naqd-e-jan (Pg. 62)
- Author : Shahid Akhtar
- Publication : madhya pradesh urdu academy Bhopal (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.