bazgasht
mere
nigār-ḳhāne kī
bosīda dīvār par
mānūs
ajnabī kī vo tasvīr
mere maazī ko
jhinjhoḌtī hai
jo
tasvīr kī rangīnī meñ dhule
ḳhāliq-o-maḳhlūq kā
rishta pā kar
kaash
lab-kushā ho jaa.e
aur
mere shahr-e-ḳhamoshāñ meñ
bhinbhinā bhar de
aur
phir pahle kī tarah
jhunjhunāhaT de
taaki
is sukūt meñ
kuchh aur
afsāne phail jaa.eñ
mere
nigar-KHane ki
bosida diwar par
manus
ajnabi ki wo taswir
mere mazi ko
jhinjhoDti hai
jo
taswir ki rangini mein dhule
KHaliq-o-maKHluq ka
rishta pa kar
kash
lab-kusha ho jae
aur
mere shahr-e-KHamoshan mein
bhinbhina bhar de
aur
phir pahle ki tarah
jhunjhunahaT de
taki
is sukut mein
kuchh aur
afsane phail jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.