bazgasht
visāl kī raah se guzar kar
firāq kā moḌ aa gayā hai
aur ab yahāñ se
udaas shāmoñ
sapāT rātoñ kā silsila hai
magar abhī tak ye ek dil hai
to pīchhe muḌ muḌ ke dekhtā hai
safar to aage ko baḌh rahā hai
magar ye duniyā to dā.era hai
murāja.at ain vāqi.a hai
hamīñ ye dekheñge sub.h-e-fardā
ki taaza sūraj nikal rahā hai
firāq kī raah se guzar kar
visāl kā moḌ aa gayā hai
visal ki rah se guzar kar
firaq ka moD aa gaya hai
aur ab yahan se
udas shamon
sapaT raaton ka silsila hai
magar abhi tak ye ek dil hai
to pichhe muD muD ke dekhta hai
safar to aage ko baDh raha hai
magar ye duniya to daera hai
murajat ain waqia hai
hamin ye dekhenge subh-e-farda
ki taza suraj nikal raha hai
firaq ki rah se guzar kar
visal ka moD aa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.