bazicha-e-atfal hai duniya mere aage
shīshe ke nāzuk bartan meñ
sābun ghol rahī hai nannhī guḌiyā
narkul kī nāzuk phuknī se
phūñk rahī hai ġhubbāre
har ġhubbāra ik ḳhvāb sā ban kar
tair rahā hai kamre meñ
kamre kī dīvāroñ se
Takrā Takrā kar TuuT rahā hai
maiñ ḳhāmosh apne kamre meñ
ye khel-tamāshā dekh rahā huuñ
us ke nāzuk hoñToñ kī
nāzuk sī sharārat dekh rahā huuñ
ye dekh rahā huuñ hastī apnī
do-chār nafas kī hastī hai
maiñ bhī ik shīshe kī dīvār huuñ
jis ke pīchhe baiThe ab tak
nanhe-munne bachche khel rahe haiñ
kañkar patthar pheñk rahe haiñ
shīshe ke nāzuk bartan meñ
sābun ghol rahī hai nannhī guḌiyā
narkul kī nāzuk phuknī se
phūñk rahī hai ġhubbāre
har ġhubbāra ik ḳhvāb sā ban kar
tair rahā hai kamre meñ
kamre kī dīvāroñ se
Takrā Takrā kar TuuT rahā hai
shishe ke nazuk bartan mein
sabun ghol rahi hai nannhi guDiya
narkul ki nazuk phukni se
phunk rahi hai ghubbare
har ghubbara ek KHwab sa ban kar
tair raha hai kamre mein
kamre ki diwaron se
Takra Takra kar TuT raha hai
main KHamosh apne kamre mein
ye khel-tamasha dekh raha hun
us ke nazuk honTon ki
nazuk si shararat dekh raha hun
ye dekh raha hun hasti apni
do-chaar nafas ki hasti hai
main bhi ek shishe ki diwar hun
jis ke pichhe baiThe ab tak
nanhe-munne bachche khel rahe hain
kankar patthar phenk rahe hain
shishe ke nazuk bartan mein
sabun ghol rahi hai nannhi guDiya
narkul ki nazuk phukni se
phunk rahi hai ghubbare
har ghubbara ek KHwab sa ban kar
tair raha hai kamre mein
kamre ki diwaron se
Takra Takra kar TuT raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.