bazigar
bāzīgar
apnā qad ūñche karne vaale juute pahantā hai
vo nashe meñ
bāzīgarī dikhātā hai
us ke juute itne ūñche haiñ
ki agar
us kī maañ dekhtī
to ro detī
aur us kī mahbūba
jo ab kisī aur ke bistar meñ hai
bāzīgar
apnī mahbūba se haath dho baiThā
is liye ki
vo us ke sāmne bāzīgarī
nahīñ dikhā sakā
bāzīgar
ūñche juute vaalā khel
jab hī se
dikhātā hai
bazigar
apna qad unche karne wale jute pahanta hai
wo nashe mein
bazigari dikhata hai
us ke jute itne unche hain
ki agar
us ki man dekhti
to ro deti
aur us ki mahbuba
jo ab kisi aur ke bistar mein hai
bazigar
apni mahbuba se hath dho baiTha
is liye ki
wo us ke samne bazigari
nahin dikha saka
bazigar
unche jute wala khel
jab hi se
dikhata hai
- Book : hairat ke us paar (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.