bazyaft
kisī kābūs kā goyā gazīda
shikasta ḳhvāb-e-be-ta.abīr ko āñkhoñ se dho kar
ġharībī DhūñDhne niklā savere
to hairānī ko dāman-gīr paayā
guzargāhoñ meñ lashkar be-amāñ the
chahakte chahchahāte naunihālāñ
jhuke jaate the pushtāroñ ke maare
unheñ kuchh bhī nahīñ mā'lūm mahshar
kamīñ-gāhoñ meñ un kā muntazir hai
ḳhudāyā āgahī āḳhir kidhar hai
to maiñ gard-e-kudūrat muñh pe mal ke
ġharībī DhūñDhne niklā thā ghar se
siyah-kāroñ kī kāroñ ke tavīle
mire raste ko har jānib se roke
salīb-e-dūd par mujh ko chaḌhā.e
chale jaate the nādīda jahāñ meñ
jahāñ duniyā-e-ġham-nā-āshnāyāñ
sajīle ḳhush-nigār-o-sīm-tan haiñ
sar-e-rāhe phaTe lattoñ ke ḳheme
vahīñ atrāf meñ bachchoñ ke revaḌ
vahīñ mailī kuchailī aurteñ bhī
sar-e-bāzār mardoñ ke barābar
musāvāt-e-tamaddun kā namūna
unheñ kuchh bhī nahīñ mā'lūm
ġhurbat kyā balā hai
ki zer-e-āsmāñ jo kuchh hai
sab un kā jahāñ hai
bil-āḳhir thak thakā kar ghar ko lauTā
ThiThak kar apnī chaukhaT par jo Thahrā
to us ke paar ik vīrāñ sī duniyā
ujāle meñ fareb-e-shab ke Duubī
ġharībī ko kaleje se lagā.e
mirī aamad kī jaise muntazir thī
vahīñ gulshan duā ke nā-farīda
vahīñ pazhmurda ummīdoñ kī kaliyāñ
vahīñ dānishvarī sar-dar-garebāñ
garebāñ chaak apnā sī rahī thī
vahīñ fikr-e-rasā bhī ro rahī thī
kisi kabus ka goya gazida
shikasta KHwab-e-be-tabir ko aankhon se dho kar
gharibi DhunDhne nikla sawere
to hairani ko daman-gir paya
guzargahon mein lashkar be-aman the
chahakte chahchahate naunihaalan
jhuke jate the pushtaron ke mare
unhen kuchh bhi nahin ma'lum mahshar
kamin-gahon mein un ka muntazir hai
KHudaya aagahi aaKHir kidhar hai
to main gard-e-kudurat munh pe mal ke
gharibi DhunDhne nikla tha ghar se
siyah-karon ki karon ke tawile
mere raste ko har jaanib se roke
salib-e-dud par mujh ko chaDhae
chale jate the nadida jahan mein
jahan duniya-e-gham-na-ashnayan
sajile KHush-nigar-o-sim-tan hain
sar-e-rahe phaTe latton ke KHeme
wahin atraf mein bachchon ke rewaD
wahin maili kuchaili aurten bhi
sar-e-bazar mardon ke barabar
musawat-e-tamaddun ka namuna
unhen kuchh bhi nahin ma'lum
ghurbat kya bala hai
ki zer-e-asman jo kuchh hai
sab un ka jahan hai
bil-aKHir thak thaka kar ghar ko lauTa
ThiThak kar apni chaukhaT par jo Thahra
to us ke par ek viran si duniya
ujale mein fareb-e-shab ke Dubi
gharibi ko kaleje se lagae
meri aamad ki jaise muntazir thi
wahin gulshan dua ke na-farida
wahin pazhmurda ummidon ki kaliyan
wahin danishwari sar-dar-gareban
gareban chaak apna si rahi thi
wahin fikr-e-rasa bhi ro rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.