bazyaft
guzre hue maah o saal ke ġham
tanhā.ī shab meñ jaag uTThe haiñ
umr-e-rafta kī justujū meñ
ashkoñ ke charāġh jal rahe haiñ
āsā.ish-e-zindagī kī hasrat
maazī kā naqsh ban chukī hai
hālāt kī nā-guzīr talḳhī
ek ek nafas meñ bas ga.ī hai
nākāmi-e-ārzū ko dil ne
taslīm o razā ke naam baḳhshe
milne kī ḳhushī bichhaḌne kā ġham
kyā kyā the fareb-e-zindagī ke
ik umr meñ ab samajh sake haiñ
ḳhushiyoñ kā fusūñ gurez pā hai
ab tark duā kī manzileñ haiñ
dāmān-e-talab simaT chukā hai
nākāmī-e-shauq miTte miTte
jiine kā shu.ūr de ga.ī hai
ye ġham hai navā.e shab kā hāsil
ye dard matā-e-zindagī hai
ujḌī huī har ravish chaman kī
detī hai surāġh rañg o bū kā
vīrān haiñ zindagī kī rāheñ
raushan hai charāġh aarzū kā
guzre hue mah o sal ke gham
tanhai shab mein jag uTThe hain
umr-e-rafta ki justuju mein
ashkon ke charagh jal rahe hain
aasaish-e-zindagi ki hasrat
mazi ka naqsh ban chuki hai
haalat ki na-guzir talKHi
ek ek nafas mein bas gai hai
nakaami-e-arzu ko dil ne
taslim o raza ke nam baKHshe
milne ki KHushi bichhaDne ka gham
kya kya the fareb-e-zindagi ke
ek umr mein ab samajh sake hain
KHushiyon ka fusun gurez pa hai
ab tark dua ki manzilen hain
daman-e-talab simaT chuka hai
nakaami-e-shauq miTte miTte
jine ka shuur de gai hai
ye gham hai nawae shab ka hasil
ye dard mata-e-zindagi hai
ujDi hui har rawish chaman ki
deti hai suragh rang o bu ka
viran hain zindagi ki rahen
raushan hai charagh aarzu ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.