bach gaya
sachche 'ishq kī laash pe ronā dhonā bhī kam hotā hai
kis meñ himmat hotī hai jo
zinda yaad ko haath lagā.e
us se khele
merā dukh sachchā thā so maiñ āsānī se bhuul gayā
tujh ko bhī terī bāteñ bhī
ḳhair ho ga.ī dukh sachchā thā
varna koī adh-kachrā dukh
mujh ko pāgal kar saktā thā
sachche 'ishq ki lash pe rona dhona bhi kam hota hai
kis mein himmat hoti hai jo
zinda yaad ko hath lagae
us se khele
mera dukh sachcha tha so main aasani se bhul gaya
tujh ko bhi teri baaten bhi
KHair ho gai dukh sachcha tha
warna koi adh-kachra dukh
mujh ko pagal kar sakta tha
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 103)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.