bachche aur badbu
bachchoñ ustādoñ aur sar-parastoñ ne
schōloñ ke sāmne barsoñ purāne
badbū bhare kūḌe-dānoñ ko
haTāne kā mutālba
chhoḌ diyā hai
ab bachchoñ ke nathnoñ se guzar kar
un kī sāñsoñ kā hissa ban jaane vaalī
badbū
sarkārī bhojan ke ba.ad
muft milne vaalī barfī ban ga.ī hai
kitāboñ ko paḌhte hue
yahī badbū
chokleT kī tarah
chūsī jaane lagī hai
ghanTī bajte hī
bachche
din bhar sūñghī jaane vaalī
badbū
kitāboñ ke bag meñ Thūñs kar
apne gharoñ ke ās-pās vaale
kūḌe-dānoñ kī hatheliyoñ par
rakh dete haiñ
aur raat kī chādar taan kar
badbū-bhare ḳhvāb dekhne lagte haiñ
bachchon ustadon aur sar-paraston ne
schoolon ke samne barson purane
badbu bhare kuDe-danon ko
haTane ka mutalba
chhoD diya hai
ab bachchon ke nathnon se guzar kar
un ki sanson ka hissa ban jaane wali
badbu
sarkari bhojan ke baad
muft milne wali barfi ban gai hai
kitabon ko paDhte hue
yahi badbu
chokleT ki tarah
chusi jaane lagi hai
ghanTi bajte hi
bachche
din bhar sunghi jaane wali
badbu
kitabon ke bag mein Thuns kar
apne gharon ke aas-pas wale
kuDe-danon ki hatheliyon par
rakh dete hain
aur raat ki chadar tan kar
badbu-bhare KHwab dekhne lagte hain
- Book : Sang-e-sada (Pg. 129)
- Author : Zubair Rizvi
- Publication : Zehn-e-jadid (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.