bachche baDon se behtar hain
ma.asūm farishta-paikar haiñ
ham bachche baḌoñ se behtar haiñ
aapas meñ laḌā.ī karte haiñ
phir sulh safā.ī karte haiñ
dukh pahuñche kisī se ham ko agar
milte haiñ dobāra phir hans kar
kuchh ham ko nahīñ hai ḳhauf-o-ḳhatar
rakhte haiñ bharosa allah par
dil saaf hamāre man sachche
ham yaksāñ andar bāhar se
ma.asūm farishtoñ ke jaise
qaumoñ kī amānat ham bachche
ham mustaqbil ke rahbar haiñ
ham bachche baḌoñ se behtar haiñ
hoñ jin meñ ḳhasā.il bachchoñ ke
vo rutbe paa.eñ valiyoñ ke
masum farishta-paikar hain
hum bachche baDon se behtar hain
aapas mein laDai karte hain
phir sulh safai karte hain
dukh pahunche kisi se hum ko agar
milte hain dobara phir hans kar
kuchh hum ko nahin hai KHauf-o-KHatar
rakhte hain bharosa allah par
dil saf hamare man sachche
hum yaksan andar bahar se
masum farishton ke jaise
qaumon ki amanat hum bachche
hum mustaqbil ke rahbar hain
hum bachche baDon se behtar hain
hon jin mein KHasail bachchon ke
wo rutbe paen waliyon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.