bachche ka KHwab
ik bachche ne ḳhvāb ye dekhā
shahr zamīñ par hai ik aisā
sab insāñ haiñ jahāñ barābar
chhoTā hai koī aur nā hai bartar
mil-jul kar haiñ sab hī rahte
hamdardī aapas meñ rakhte
kaalā bhoñDā koī nahīñ hai
sūrat se har koī hasīñ hai
bachche bhī haiñ sab hī pyāre
mil kar paḌhne jaate saare
nahīñ hai laḌtā koī kisī se
mil kar rahte saath ḳhushī ke
koī kisī kī chiiz na letā
ġhībat chuġhlī koī na kartā
saaf haiñ ḳhud bhī kapḌe ujle
baste bhī to nahīñ haiñ gande
niiñd se bachcha jab vo jaagā
idhar udhar ghabrā kar dekhā
kuchh pal meñ jab jaag uThā
ḳhvāb thā sab ye samajh gayā
sochā kaash ye sach ho jaa.e
aisī duniyā ye ban jaa.e
ek bachche ne KHwab ye dekha
shahr zamin par hai ek aisa
sab insan hain jahan barabar
chhoTa hai koi aur na hai bartar
mil-jul kar hain sab hi rahte
hamdardi aapas mein rakhte
kala bhonDa koi nahin hai
surat se har koi hasin hai
bachche bhi hain sab hi pyare
mil kar paDhne jate sare
nahin hai laDta koi kisi se
mil kar rahte sath KHushi ke
koi kisi ki chiz na leta
ghibat chughli koi na karta
saf hain KHud bhi kapDe ujle
baste bhi to nahin hain gande
nind se bachcha jab wo jaga
idhar udhar ghabra kar dekha
kuchh pal mein jab jag uTha
KHwab tha sab ye samajh gaya
socha kash ye sach ho jae
aisi duniya ye ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.