bachche ki hasrat
ḳhudā detā hameñ bhī par to sū-e-asmāñ jaate
parindoñ kī tarah uḌ kar yahāñ se ham vahāñ jaate
kabhī is Daal par rahte kabhī us Daal par jaate
daraḳhtoñ se kabhī uḌ kar kisī chhat par utar jaate
safar ke vāste muhtāj gaaḌī ke na ham hote
na nazroñ meñ kisī bhī rāste ke pech-o-ḳham hote
na hotī koī pābandī na hotī fikr sarhad kī
na koī roktā ham ko na lagtī paañv meñ beḌī
parindoñ kī tarah hote agar āzād duniyā meñ
nazar kyoñ Dālte ham par kabhī sayyād duniyā meñ
KHuda deta hamein bhi par to su-e-asman jate
parindon ki tarah uD kar yahan se hum wahan jate
kabhi is Dal par rahte kabhi us Dal par jate
daraKHton se kabhi uD kar kisi chhat par utar jate
safar ke waste muhtaj gaDi ke na hum hote
na nazron mein kisi bhi raste ke pech-o-KHam hote
na hoti koi pabandi na hoti fikr sarhad ki
na koi rokta hum ko na lagti panw mein beDi
parindon ki tarah hote agar aazad duniya mein
nazar kyon Dalte hum par kabhi sayyaad duniya mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.