bachchon ka julus
ġhubāre sitāre
gulābī sharābī khule parchamoñ ke sharāre uḌāte
hazāroñ kī ta.adād meñ vo gharoñ se schōloñ se aa.e
dahakte hue gaal uḌte hue baal
jismoñ ke motī
vo shabnam the lekin
badalte ga.e garm laave meñ paiham
vo bahte ga.e mauj-dar-mauj har rah guzar par
falak-bos na.aroñ se apne vatan ke na.e yā purāne
chale vo baḌhe vo
sabhī mushtahar dushmanoñ ko miTāne
magar shoḳh chehroñ ke is kārvāñ meñ
tasavvur meñ bante sañvarte hue sūrmāoñ se haT kar
ḳhudā jaane kaise kahāñ se vo aayā
vo nanhā sā ma.asūm bālak
jo ḳhāmosh hairāñ pareshāñ
ġhubāroñ sharāroñ falak-bos na.aroñ
ke be-rahm dariyā meñ bahtā luḌhaktā chalā jā rahā thā
use kaun pahchāntā jab tamāshā.iyoñ kī safoñ meñ
use dekhne vaalā koī nahīñ thā
ghubare sitare
gulabi sharabi khule parchamon ke sharare uDate
hazaron ki tadad mein wo gharon se schoolon se aae
dahakte hue gal uDte hue baal
jismon ke moti
wo shabnam the lekin
badalte gae garm lawe mein paiham
wo bahte gae mauj-dar-mauj har rah guzar par
falak-bos naron se apne watan ke nae ya purane
chale wo baDhe wo
sabhi mushtahar dushmanon ko miTane
magar shoKH chehron ke is karwan mein
tasawwur mein bante sanwarte hue surmaon se haT kar
KHuda jaane kaise kahan se wo aaya
wo nanha sa masum baalak
jo KHamosh hairan pareshan
ghubaron shararon falak-bos naron
ke be-rahm dariya mein bahta luDhakta chala ja raha tha
use kaun pahchanta jab tamashaiyon ki safon mein
use dekhne wala koi nahin tha
- Book : Lambi Barish (Pg. 64)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.