bachchon ka nara
ham haiñ bhārat ke santān
hindū hoñ yā musalmān
sikh hoñ chāhe hoñ īsā.ī
aapas meñ haiñ bhaa.ī bhaa.ī
bhārat pyārā desh hamārā
ham sab kī āñkhoñ kā taarā
is kī god meñ gangā jamunā
jo sākār kareñ sab sapnā
gāñdhī nehru aur āzād
dete the ye āshirvād
bachche phūleñ phaleñ hamāre
naqsh-e-qadam par chaleñ hamāre
hoñ āzādī ke matvāle
bhārat ke hoñ ye rakhvāle
dushman se jab vo Takrā.eñ
apne desh kī shaan baḌhā.eñ
aao mil kar pyaar kareñ ham
bhārat kā upkār kareñ ham
hum hain bhaarat ke santan
hindu hon ya musalman
sikh hon chahe hon isai
aapas mein hain bhai bhai
bhaarat pyara desh hamara
hum sab ki aankhon ka tara
is ki god mein ganga jamuna
jo sakar karen sab sapna
gandhi nehru aur aazad
dete the ye aashirwad
bachche phulen phalen hamare
naqsh-e-qadam par chalen hamare
hon aazadi ke matwale
bhaarat ke hon ye rakhwale
dushman se jab wo Takraen
apne desh ki shan baDhaen
aao mil kar pyar karen hum
bhaarat ka upkar karen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.