bachchon ke liye KHususi nazm
ḳhvāb-e-ḳhargosh toḌ denā hai
tum ko paḌhnā hai ḳhuub paḌhnā hai
maiñ tumheñ titliyoñ se bahlā.ūñ
yā patañgeñ uḌā ke phuslā.ūñ
aur carrom kī goTīoñ ke saath
vaqt barbād karnā sikhlā.ūñ
ek hī kaam kar guzarnā hai
tum ko paḌhnā hai ḳhuub paḌhnā hai
naanī daadī se loriyāñ bhī sun
kaun kahtā hai tujh se motī chun
itnā nādān ho gayā hai tū
band āñkhoñ se gā rahā hai gun
āsmānoñ kī baat karnā hai
tum ko paḌhnā hai ḳhuub paḌhnā hai
paḌhne likhne se jī churātā hai
gullī DanDe meñ jī lagātā hai
geñd balle kā tū hai shaidā.ī
umr yuuñ hī guzār detā hai
ab na.e rāste pe chalnā hai
tum ko paḌhnā hai ḳhuub paḌhnā hai
nīche darjoñ meñ paas ho jaanā
nanhe munnoñ kā sīḌhī chaḌh jaanā
hai safar ilm kā zarā lambā
hausloñ se magar simaT jaanā
band zehnoñ kā ab to khulnā hai
tum ko paḌhnā hai ḳhuub paḌhnā hai
ek ne.amat kitāb hai terī
yūñhī Taltī nahīñ pareshānī
is se milte haiñ fā.ede saare
is kī barakat karegī sultānī
chāñd tāroñ meñ jā ke rahnā hai
tum ko paḌhnā hai ḳhuub paḌhnā hai
KHwab-e-KHargosh toD dena hai
tum ko paDhna hai KHub paDhna hai
main tumhein titliyon se bahlaun
ya patangen uDa ke phuslaun
aur carrom ki goTion ke sath
waqt barbaad karna sikhlaun
ek hi kaam kar guzarna hai
tum ko paDhna hai KHub paDhna hai
nani dadi se loriyan bhi sun
kaun kahta hai tujh se moti chun
itna nadan ho gaya hai tu
band aankhon se ga raha hai gun
aasmanon ki baat karna hai
tum ko paDhna hai KHub paDhna hai
paDhne likhne se ji churaata hai
gulli DanDe mein ji lagata hai
gend balle ka tu hai shaidai
umr yun hi guzar deta hai
ab nae raste pe chalna hai
tum ko paDhna hai KHub paDhna hai
niche darjon mein pas ho jaana
nanhe munnon ka siDhi chaDh jaana
hai safar ilm ka zara lamba
hauslon se magar simaT jaana
band zehnon ka ab to khulna hai
tum ko paDhna hai KHub paDhna hai
ek neamat kitab hai teri
yunhi Talti nahin pareshani
is se milte hain faede sare
is ki barakat karegi sultani
chand taron mein ja ke rahna hai
tum ko paDhna hai KHub paDhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.