bachchon ki baaten
aa.e haiñ āsmān par bādal
chhā.e haiñ āsmān par bādal
abr hī abr dekhte haiñ ham
hai barasne ko jo abhī chham-chham
aur mālūm aisā hotā hai
chhup ke ḳhurshīd jaise sotā hai
ghar ke koThe pe ek do bachche
chārpā.ī pe haiñ DaTe baiThe
boliyāñ bhāñt bhāñt haiñ un kī
mīThī mīThī haiñ bholī bhālī sī
ek bolā ki jānte ho kyā
kyā hai ye āsmān par chhāyā
ruuī ke gaale naam hai in kā
aanā aur jaanā kaam hai in kā
jab pahāḌoñ se log aate haiñ
ruuī ke gaale saath laate haiñ
kar ke achchhī tarah se in ko saaf
lambe chauḌe banāte haiñ vo lihāf
baat sach ye hai dūsrā bolā
āsmān par lagā hai ik ḳhema
hai ġhalat ye bhī tīsre ne kahā
asl meñ hai ye duudh kā dariyā
āsmāñ vaale is ko piite haiñ
is ko pī kar farishte jiite haiñ
mil ke yuuñ sab ne aisī bāteñ kiiñ
nanhe nanhoñ ne nannhī bāteñ kiiñ
dekhte dekhte huā phir kyā
mūslā-dhār meñh barasne lagā
pyāre bachche ye lāDle bachche
apne apne gharoñ ko bhaag ga.e
aae hain aasman par baadal
chhae hain aasman par baadal
abr hi abr dekhte hain hum
hai barasne ko jo abhi chham-chham
aur malum aisa hota hai
chhup ke KHurshid jaise sota hai
ghar ke koThe pe ek do bachche
chaarpai pe hain DaTe baiThe
boliyan bhant bhant hain un ki
miThi miThi hain bholi bhaali si
ek bola ki jaante ho kya
kya hai ye aasman par chhaya
rui ke gale nam hai in ka
aana aur jaana kaam hai in ka
jab pahaDon se log aate hain
rui ke gale sath late hain
kar ke achchhi tarah se in ko saf
lambe chauDe banate hain wo lihaf
baat sach ye hai dusra bola
aasman par laga hai ek KHema
hai ghalat ye bhi tisre ne kaha
asl mein hai ye dudh ka dariya
aasman wale is ko pite hain
is ko pi kar farishte jite hain
mil ke yun sab ne aisi baaten kin
nanhe nanhon ne nannhi baaten kin
dekhte dekhte hua phir kya
musla-dhaar meinh barasne laga
pyare bachche ye laDle bachche
apne apne gharon ko bhag gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.