bachchon ki muskan
kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ kī muskān
hañste aur muskāte bachche bhārat des kī shaan
kal ye mahakte phuul baneñge aaj haiñ nannhī kaliyāñ
saaya un par kiye hue haiñ āshāoñ kī pariyāñ
zahrīle kāñToñ se na uljheñ ye nannhī sī jaan
kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ kī muskān
hañste aur muskāte bachche bhārat des kī shaan
nannhī munnī komal kaliyāñ kahīñ na murjhā jaa.eñ
ḳhushbū mahke kyārī kyārī mahkeñ aur mahkā.eñ
gulshan ke sab rakhvāloñ par farz hai un kā dhyān
kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ kī muskān
hañste aur muskāte bachche bhārat des kī shaan
jīvan meñ ujyālā in se ye dhartī ke taare
gore haiñ yā kaale haiñ ye bachche pyāre pyāre
maaoñ kī mamtā se pūchho sab haiñ ek samān
kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ kī muskān
hañste aur muskāte bachche bhārat des kī shaan
bastī bastī nagar nagar ye amrit jal barsāo
jīvan jot jalāo har sū ilm kā diip jalāo
jab hoñ baḌe ye aaj ke bachche nikleñ sab vidvān
kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ kī muskān
hañste aur muskāte bachche bhārat des kī shaan
sehat kī sundartā paa.eñ sab ko rañg-o-rūp mile
taaza havā bharpūr ġhizā ho in ko sunahrī dhuup mile
phūle phale parvān chaḌhe ye bhārat kī santān
kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ kī muskān
hañste aur muskāte bachche bhārat des kī shaan
amn kī ThanDī chhāñv meñ kheleñ in ko sab kā pyaar mile
dukh na inheñ pahuñchā.e koī in ko sukhī sansār mile
des kī saarī maa.eñ dil meñ rakhtī haiñ armān
kaisī suhānī kaisī rasīlī bachchoñ kī muskān
hañste aur muskāte bachche bhārat des kī shaan
kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan
hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan
kal ye mahakte phul banenge aaj hain nannhi kaliyan
saya un par kiye hue hain aashaon ki pariyan
zahrile kanTon se na uljhen ye nannhi si jaan
kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan
hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan
nannhi munni komal kaliyan kahin na murjha jaen
KHushbu mahke kyari kyari mahken aur mahkaen
gulshan ke sab rakhwalon par farz hai un ka dhyan
kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan
hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan
jiwan mein ujyala in se ye dharti ke tare
gore hain ya kale hain ye bachche pyare pyare
maon ki mamta se puchho sab hain ek saman
kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan
hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan
basti basti nagar nagar ye amrit jal barsao
jiwan jot jalao har su ilm ka dip jalao
jab hon baDe ye aaj ke bachche niklen sab widwan
kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan
hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan
sehat ki sundarta paen sab ko rang-o-rup mile
taza hawa bharpur ghiza ho in ko sunahri dhup mile
phule phale parwan chaDhe ye bhaarat ki santan
kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan
hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan
amn ki ThanDi chhanw mein khelen in ko sab ka pyar mile
dukh na inhen pahunchae koi in ko sukhi sansar mile
des ki sari maen dil mein rakhti hain arman
kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan
hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.