bachchon ki ye zamin hai
jannat yahāñ kahīñ hai
ham haiñ jahāñ vahīñ hai
phūloñ sī ye hasīñ hai
bachchoñ kī ye zamīñ hai
bachchoñ kī ye zamīñ hai
jhagḌe sabhī bhulā.eñ
rūThe to man bhī jaa.eñ
sab ko gale lagā.eñ
amn-o-amāñ yahīñ hai
bachchoñ kī ye zamīñ hai
shaffāf dil hamāre
bahtī nadī ke dhāre
jharne ye pyāre pyāre
nafrat kahīñ nahīñ hai
bachchoñ kī ye zamīñ hai
ham haiñ diloñ kī rāhat
ham haiñ payām-e-ulfat
sar-tā-pā ham mohabbat
ham sā koī kahīñ hai
bachchoñ kī ye zamīñ hai
jannat yahan kahin hai
hum hain jahan wahin hai
phulon si ye hasin hai
bachchon ki ye zamin hai
bachchon ki ye zamin hai
jhagDe sabhi bhulaen
ruThe to man bhi jaen
sab ko gale lagaen
amn-o-aman yahin hai
bachchon ki ye zamin hai
shaffaf dil hamare
bahti nadi ke dhaare
jharne ye pyare pyare
nafrat kahin nahin hai
bachchon ki ye zamin hai
hum hain dilon ki rahat
hum hain payam-e-ulfat
sar-ta-pa hum mohabbat
hum sa koi kahin hai
bachchon ki ye zamin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.