Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachchon ko naya sal mubarak

Tilok Chand Mahroom

bachchon ko naya sal mubarak

Tilok Chand Mahroom

MORE BYTilok Chand Mahroom

    purānā gayā aur nayā saal aayā

    mubārak ho tum ko nayā saal bachcho

    jo ab haath meñ hai karo fikr us

    gayā haath se jo gayā saal bachcho

    dikhā.e ḳhudā saal tum ko bahut se

    yūñhī saal par saal aatā rahegā

    vo jaatā rahegā purānā jo hogā

    nayā saal har saal aatā rahegā

    purānā agar saal ġhaflat meñ guzrā

    guzāro nayā saal hushyār ho kar

    jo pichhle baras meñ kamī rah ga.ī hai

    karo us ko puurā ḳhabar-dār ho kar

    nayā saal ho jā.egā jab purānā

    to sāmāñ karegā vo apne safar ke

    kiye hoñge tum ne agar kaam achchhe

    vo ḳhush jā.egā tum ko dil-shād kar ke

    kiyā hogā zaa.e.a agar tum ne is ko

    to ġhusse sūrat dikhā.egā tum ko

    vo ḳhud jaane vaalā to chukegā

    magar jaate jaate rulā.egā tum ko

    mubārak ho tum ko nayā saal bachcho

    umañgeñ na.ī dil meñ paidā karo tum

    ḳhushī likhne paḌhne meñ ho tum ko hāsil

    jo ho kaam achchhe se achchhe karo tum

    purana gaya aur naya sal aaya

    mubarak ho tum ko naya sal bachcho

    jo ab hath mein hai karo fikr us ki

    gaya hath se jo gaya sal bachcho

    dikhae KHuda sal tum ko bahut se

    yunhi sal par sal aata rahega

    wo jata rahega purana jo hoga

    naya sal har sal aata rahega

    purana agar sal ghaflat mein guzra

    guzaro naya sal hushyar ho kar

    jo pichhle baras mein kami rah gai hai

    karo us ko pura KHabar-dar ho kar

    naya sal ho jaega jab purana

    to saman karega wo apne safar ke

    kiye honge tum ne agar kaam achchhe

    wo KHush jaega tum ko dil-shad kar ke

    kiya hoga zaea agar tum ne is ko

    to ghusse ki surat dikhaega tum ko

    wo KHud jaane wala to ja hi chukega

    magar jate jate rulaega tum ko

    mubarak ho tum ko naya sal bachcho

    umangen nai dil mein paida karo tum

    KHushi likhne paDhne mein ho tum ko hasil

    jo ho kaam achchhe se achchhe karo tum

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now