bachchon se KHitab
zindagī naam hai taġhayyur kā
gar taġhayyur na ho to ziist muhāl
zarra zarra hai inqalāb-pazīr
yahī fitrat kī aarzū kā kamāl
rok le rāsta mashiyyat kā
kis kī tāqat hai aur kis kī majāl
ek gahrā sā rabt qaa.em hai
darmiyān-e-rah-e-firāq-o-visāl
log aate haiñ log jaate haiñ
hai yahī apnī zindagī kā ma.aal
jab taraqqī ke marhale hoñ tai
mulk-o-millat kā lāzmī hai ḳhayāl
tan kī pākīzgī bhī achchhī hai
man kī pākīzgī hai husn-e-ḳhisāl
mehr-o-ulfat kā dars aam kareñ
bāñTne sab meñ hai ye āb-e-zulāl
baḳhsh deñ gar koī kare taqsīr
ye hai insāniyat kā auj-e-kamāl
rāsta ho ġhalat to ruk jaao
na chalo chaal jo ho TeḌhī chaal
bhuul kar bhī na aisā kaam kareñ
jis se hāsil ho ranj-o-huzn-o-malāl
zindagi nam hai taghayyur ka
gar taghayyur na ho to zist muhaal
zarra zarra hai inqalab-pazir
yahi fitrat ki aarzu ka kamal
rok le rasta mashiyyat ka
kis ki taqat hai aur kis ki majal
ek gahra sa rabt qaem hai
darmiyan-e-rah-e-firaq-o-visal
log aate hain log jate hain
hai yahi apni zindagi ka maal
jab taraqqi ke marhale hon tai
mulk-o-millat ka lazmi hai KHayal
tan ki pakizgi bhi achchhi hai
man ki pakizgi hai husn-e-KHisal
mehr-o-ulfat ka dars aam karen
banTne sab mein hai ye aab-e-zulal
baKHsh den gar koi kare taqsir
ye hai insaniyat ka auj-e-kamal
rasta ho ghalat to ruk jao
na chalo chaal jo ho TeDhi chaal
bhul kar bhi na aisa kaam karen
jis se hasil ho ranj-o-huzn-o-malal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.