bachpan
bādshāhī hai hamārā bachpan
jā ke aatā nahīñ pyārā bachpan
ik na.ī hastī kī ta.amīr huī
jab buzurgoñ ne sañvārā bachpan
ek din bantā hai koshish se qamar
hotā hai pahle sitārā bachpan
pyārā pyārā sā nihāyat ma.asūm
hai har ik aañkh kā taarā bachpan
hai har ik fikr se ġham se āzād
ho hamārā ki tumhārā bachpan
us ko be-kār kahā jaatā hai
jis meñ hotā nahīñ pyārā bachpan
misl-e-tūfān bhī ban jaatā hai
bahr-e-hastī kā kinārā bachpan
ye to 'abrār' sabhī jānte haiñ
hai har ik maañ kā dulārā bachpan
baadshahi hai hamara bachpan
ja ke aata nahin pyara bachpan
ek nai hasti ki tamir hui
jab buzurgon ne sanwara bachpan
ek din banta hai koshish se qamar
hota hai pahle sitara bachpan
pyara pyara sa nihayat masum
hai har ek aankh ka tara bachpan
hai har ek fikr se gham se aazad
ho hamara ki tumhaara bachpan
us ko be-kar kaha jata hai
jis mein hota nahin pyara bachpan
misl-e-tufan bhi ban jata hai
bahr-e-hasti ka kinara bachpan
ye to 'abrar' sabhi jaante hain
hai har ek man ka dulara bachpan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.