bachpan
ek chhappar kā ghar niim ke saa.e meñ
ūñghtā hai dhuñdalke meñ lipTā huā
shaam kā vaqt hai aur chokhā hai sard
sehn meñ ek bachcha barahna badan
baasī roTī kā TukḌā liye haath meñ
sar khujātā hai jaane hai kis soch meñ
aur usāre meñ aaTe kī chakkī ke paas
ek 'aurat pareshān-ḳhātir udaas
sochtī hai ki din bhar kī mehnat ke baa'd
aaj bhī rūkhī roTī milegī hameñ
tum haqārat se kyoñ dekhte ho ise
dost ye mere bachpan kī tasvīr hai
ek chhappar ka ghar nim ke sae mein
unghta hai dhundalke mein lipTa hua
sham ka waqt hai aur chokha hai sard
sehn mein ek bachcha barahna badan
basi roTi ka TukDa liye hath mein
sar khujata hai jaane hai kis soch mein
aur usare mein aaTe ki chakki ke pas
ek 'aurat pareshan-KHatir udas
sochti hai ki din bhar ki mehnat ke ba'd
aaj bhi rukhi roTi milegi hamein
tum haqarat se kyon dekhte ho ise
dost ye mere bachpan ki taswir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.