bachpan
jab halkī phulkī bātoñ se
naġhmoñ kī tanābeñ bantī thiiñ
jab chhoTe chhoTe lafzoñ se
afkār kī sham.eñ jaltī thiiñ
har chehra apnā chehra thā
har darpan apnā darpan thā
jo ghar thā hamārā hī ghar thā
har āñgan apnā āñgan thā
jo baat laboñ tak aatī thī
vo dil se nahīñ kar aatī thī
kānoñ meñ amrit bhartī thī
aur dil ko chhūkar jaatī thī
vo vaqt bahut hī pyārā thā
vo lamhe kitne mīThe the
jis vaqt kī ujlī rāhoñ par
āġhāz to hai anjām nahīñ
jis vaqt kī ujlī rāhoñ par
āġhāz to hai anjām nahīñ
vo vaqt kahāñ rū-posh huā
jis vaqt kā koī naam nahīñ
jab halki phulki baaton se
naghmon ki tanaben banti thin
jab chhoTe chhoTe lafzon se
afkar ki shamen jalti thin
har chehra apna chehra tha
har darpan apna darpan tha
jo ghar tha hamara hi ghar tha
har aangan apna aangan tha
jo baat labon tak aati thi
wo dil se nahin kar aati thi
kanon mein amrit bharti thi
aur dil ko chhukar jati thi
wo waqt bahut hi pyara tha
wo lamhe kitne miThe the
jis waqt ki ujli rahon par
aaghaz to hai anjam nahin
jis waqt ki ujli rahon par
aaghaz to hai anjam nahin
wo waqt kahan ru-posh hua
jis waqt ka koi nam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.