bachpan kī āñkheñ
saḌak ke kināre khaḌī
rotī haiñ
sarāsīmgī ke aalam meñ
apne juute aur chappaleñ chhoḌ kar
bhāgne vāloñ kī dahshat aur hairāniyāñ
in meñ sarāyat kar chukī haiñ
bachpan kī āñkheñ
hairān haiñ
ki gharoñ ko aag lagāne vāloñ
aur un ke andar phañse hue
ḳhauf-zada logoñ kā
darmiyānī rishta
in kī samajh meñ nahīñ aatā
unheñ mālūm nahīñ
ki tāñge se ghasīT kar
galī meñ le jaa.ī jaane vaalī auratoñ ke saath
kyā sulūk kiyā gayā
chhajje par khaḌā huā būḌhā
kis kī bandūq kī golī khā kar girā
būToñ tale rauñde jaane vaale jism
kin logoñ ke the
bachpan kī āñkheñ
saḌak ke kināre khaḌī rotī haiñ
ki inhoñ ne jo kuchh dekhā
vo be-ma.anī hai
bachpan kī gavāhī
adālat meñ taslīm nahīñ kī jaatī
bachpan ki aankhen
saDak ke kinare khaDi
roti hain
sarasimgi ke aalam mein
apne jute aur chappalen chhoD kar
bhagne walon ki dahshat aur hairaniyan
in mein sarayat kar chuki hain
bachpan ki aankhen
hairan hain
ki gharon ko aag lagane walon
aur un ke andar phanse hue
KHauf-zada logon ka
darmiyani rishta
in ki samajh mein nahin aata
unhen malum nahin
ki tange se ghasiT kar
gali mein le jai jaane wali auraton ke sath
kya suluk kiya gaya
chhajje par khaDa hua buDha
kis ki banduq ki goli kha kar gira
buTon tale raunde jaane wale jism
kin logon ke the
bachpan ki aankhen
saDak ke kinare khaDi roti hain
ki inhon ne jo kuchh dekha
wo be-mani hai
bachpan ki gawahi
adalat mein taslim nahin ki jati
- Book : kushaad (Pg. 39)
- Author : saadiq
- Publication : meyaar publication (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.