bachpan
thāme haath apne abbū kā
kamsin bachcha bholā-bhālā
ghar ke paas hī bāġhīche meñ
sub.h savere sair ko aayā
bāġhīche meñ hariyālī thī
ġhuncha ġhuncha mahak rahā thā
shāḳhoñ par gul jhuum uThte the
chheḌtā thā jab havā kā jhoñkā
dekh ke dilkash manzar bachcha
dil hī dil meñ apne ḳhush thā
maḳhmal jaisī ghaas pe us ne
motiyoñ ko jab bikhre dekhā
abbū kī phir chhoḌ ke uñglī
dauḌ ke motī chunñe pahuñchā
us ke abbū ne jab dekhā
pūchhā kyā karte ho beTā
kahne lagā vo kamsin bachcha
chuntā huuñ maiñ motī abbā
motī chuTkī se vo uThātā
paanī thā paanī ho jaatā
abbū ne ma.asūm adā par
god meñ le kar ḳhuub hī chūmā
aur ye phir bachche ko batāyā
motī qatra hai shabnam kā
chāhe jitnī koshish kar lo
haath pe lekin aa na sakegā
kaash 'ufuq' ma.asūm baneñ ham
bachpan phir lauT aa.egā apnā
thame hath apne abbu ka
kamsin bachcha bhola-bhaala
ghar ke pas hi baghiche mein
subh sawere sair ko aaya
baghiche mein hariyali thi
ghuncha ghuncha mahak raha tha
shaKHon par gul jhum uThte the
chheDta tha jab hawa ka jhonka
dekh ke dilkash manzar bachcha
dil hi dil mein apne KHush tha
maKHmal jaisi ghas pe us ne
motiyon ko jab bikhre dekha
abbu ki phir chhoD ke ungli
dauD ke moti chunne pahuncha
us ke abbu ne jab dekha
puchha kya karte ho beTa
kahne laga wo kamsin bachcha
chunta hun main moti abba
moti chuTki se wo uThata
pani tha pani ho jata
abbu ne masum ada par
god mein le kar KHub hi chuma
aur ye phir bachche ko bataya
moti qatra hai shabnam ka
chahe jitni koshish kar lo
hath pe lekin aa na sakega
kash 'ufuq' masum banen hum
bachpan phir lauT aaega apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.