bachpan
ye bachche jin ko maa.eñ loriyāñ de kar sulātī haiñ
biThā kar apne pañkhoñ par jinheñ pariyāñ uḌātī haiñ
ajab hotī haiñ un kī ḳhvāhisheñ har shai ko paane kī
kabhī karte haiñ ye zid chāñd taare toḌ laane kī
unheñ mauqa jo mil jaa.e sharārat ḳhuub karte haiñ
mohabbat karne vāloñ se mohabbat ḳhuub karte haiñ
kuchh un meñ paḌhne likhne ke bahut shauqīn hote haiñ
to kuchh schōl jaate vaqt uuñ uuñ karke rote haiñ
ye jaldī dostī karte haiñ pal meñ chhoḌ dete haiñ
ye ġhusse meñ ḳhud apne hī khilaune toḌ dete haiñ
anokhī har adā un kī nirālā taur hotā hai
jise kahte haiñ ham bachpan sunahrā daur hotā hai
ye bachche jin ko maen loriyan de kar sulati hain
biTha kar apne pankhon par jinhen pariyan uDati hain
ajab hoti hain un ki KHwahishen har shai ko pane ki
kabhi karte hain ye zid chand tare toD lane ki
unhen mauqa jo mil jae shararat KHub karte hain
mohabbat karne walon se mohabbat KHub karte hain
kuchh un mein paDhne likhne ke bahut shauqin hote hain
to kuchh school jate waqt un un karke rote hain
ye jaldi dosti karte hain pal mein chhoD dete hain
ye ghusse mein KHud apne hi khilaune toD dete hain
anokhi har ada un ki nirala taur hota hai
jise kahte hain hum bachpan sunahra daur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.