bad-gumani
lamha lamha hai hayāt-e-kārgar kā mo'atabar
sajda-sajda hai dil-e-āshufta-sar kā mo'atabar
zarra-zarra hai vafā kī rahguzar kā mo'atabar
rafta-rafta hotī jaatī hai mujassam aarzū
kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ tū
multafit nazreñ nazar aatī haiñ kam-kam hī sahī
iltifāt-e-husn kī raftār maddham hī sahī
har adā meñ to karam hai zulf-e-barham hī sahī
ye gumāñ hotā hai koī shai nahīñ hai justujū
kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ tū
zehn-e-shā.ir kī mukammal quvvat-e-parvāz hai
terā jo lahja hai merī ruuh kī āvāz hai
raunaq-e-har-anjuman hai har chaman kā raaz hai
ai sarāpā sher-o-naġhma ai mujassam rang-o-bū
kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ tū
kā.enāt-e-arsh-o-kursī sar-nigūñ maujūd hai
ruuh mahv-e-bandagī hai zindagī masjūd hai
ab maiñ samjhā huuñ ki do-ālam kā kyā maqsūd hai
raaz kab khultā agar jalva na hotā rū-ba-rū
kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ tū
aa gayā ye husn kī fitrat meñ kaisā inqalāb
ishq kā har har nafas hai ab payām-e-kāmyāb
sāmne be-parda aane meñ nahīñ kuchh ijtināb
ye nigāh-e-multajī ye bholī bholī guftugū
kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ tū
ālam-e-asbāb meñ aisā kahīñ hotā nahīñ
husn-e-ḳhud-bīñ ishq ke zer-e-nagīñ hotā nahīñ
ye to sab kuchh hai magar mujh ko yaqīñ hotā nahīñ
sochtā huuñ tere dil meñ aur merī aarzū
kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ tū
qahr to kyā lutf kī nazroñ se bhī bachtā huuñ maiñ
tujh se bargashta nahīñ apne se bargashta huuñ maiñ
is liye ab iltifāt-e-husn par hañstā huuñ maiñ
ye dil-e-nā-kāmyāb aur kāmyāb-e-ārzū
kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ tū
ḳhvāb-e-shīrīñ hī kahīñ ḳhvāb-e-pareshāñ to nahīñ
jān-e-jāñ samjhā huuñ jis ko dushman-e-jāñ to nahīñ
ye tabāhī kā mirī rangīn unvāñ to nahīñ
yaksūī hāsil nahīñ merī nazar hai chār-sū
kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ tū
zāhirī ye rabt-e-ulfat bhī kabhī dhokā na ho
ai yaqīn-e-iltifāt-e-husn phir aisā na ho
mujh ko vo kuchh dekhnā ho jo kabhī dekhā na ho
phir dil-e-pur-ārzū ho aur terī justujū
kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ tū
haañ abhī baaqī hai kuchh kuchh zehn-o-dil par iḳhtiyār
haañ abhī duniyā-e-zabt-e-shauq kā huuñ shahryār
haañ abhī tujh par nahīñ merī tabāhī kā madār
haañ abhī puḳhta nahīñ dil meñ binā-e-ārzū
kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ tū
raushnī-e-tab.a ke hāthoñ nahīñ hāsil sukūñ
zehn-o-dil kī kashmakash alfāz meñ kyūñkar kahūñ
jur.at-e-rindāna meñ shāmil hai kuchh juzv-e-junūñ
ye bhalā kahne kī kab bāteñ thī tere rū-ba-rū
kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ tū
lamha lamha hai hayat-e-kargar ka mo'atabar
sajda-sajda hai dil-e-ashufta-sar ka mo'atabar
zarra-zarra hai wafa ki rahguzar ka mo'atabar
rafta-rafta hoti jati hai mujassam aarzu
kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu
multafit nazren nazar aati hain kam-kam hi sahi
iltifat-e-husn ki raftar maddham hi sahi
har ada mein to karam hai zulf-e-barham hi sahi
ye guman hota hai koi shai nahin hai justuju
kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu
zehn-e-shair ki mukammal quwwat-e-parwaz hai
tera jo lahja hai meri ruh ki aawaz hai
raunaq-e-har-anjuman hai har chaman ka raaz hai
ai sarapa sher-o-naghma ai mujassam rang-o-bu
kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu
kaenat-e-arsh-o-kursi sar-nigun maujud hai
ruh mahw-e-bandagi hai zindagi masjud hai
ab main samjha hun ki do-alam ka kya maqsud hai
raaz kab khulta agar jalwa na hota ru-ba-ru
kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu
aa gaya ye husn ki fitrat mein kaisa inqalab
ishq ka har har nafas hai ab payam-e-kaamyab
samne be-parda aane mein nahin kuchh ijtinab
ye nigah-e-multaji ye bholi bholi guftugu
kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu
aalam-e-asbab mein aisa kahin hota nahin
husn-e-KHud-bin ishq ke zer-e-nagin hota nahin
ye to sab kuchh hai magar mujh ko yaqin hota nahin
sochta hun tere dil mein aur meri aarzu
kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu
qahr to kya lutf ki nazron se bhi bachta hun main
tujh se bargashta nahin apne se bargashta hun main
is liye ab iltifat-e-husn par hansta hun main
ye dil-e-na-kaamyab aur kaamyab-e-arzu
kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu
KHwab-e-shirin hi kahin KHwab-e-pareshan to nahin
jaan-e-jaan samjha hun jis ko dushman-e-jaan to nahin
ye tabahi ka meri rangin unwan to nahin
yaksui hasil nahin meri nazar hai chaar-su
kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu
zahiri ye rabt-e-ulfat bhi kabhi dhoka na ho
ai yaqin-e-iltifat-e-husn phir aisa na ho
mujh ko wo kuchh dekhna ho jo kabhi dekha na ho
phir dil-e-pur-arzu ho aur teri justuju
kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu
han abhi baqi hai kuchh kuchh zehn-o-dil par iKHtiyar
han abhi duniya-e-zabt-e-shauq ka hun shahryar
han abhi tujh par nahin meri tabahi ka madar
han abhi puKHta nahin dil mein bina-e-arzu
kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu
raushni-e-taba ke hathon nahin hasil sukun
zehn-o-dil ki kashmakash alfaz mein kyunkar kahun
jurat-e-rindana mein shamil hai kuchh juzw-e-junun
ye bhala kahne ki kab baaten thi tere ru-ba-ru
kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.