baDa chakkar lagaen
kisī din aa
purānī khā.ī.oñ ko paar kar ke
daldaloñ meñ paañv rakkheñ
narsaloñ ko kaaT Dāleñ
pesh-e-manzar ke liye rasta banā.eñ
aa kisī din
dhund meñ jakḌī huī
kāñToñ bharī ye baaḌ
jis meñ vaqt kī bijlī ravāñ hai
jo zamīñ o āsmāñ ko
kāTtī hai
biich se
us ko haTā.eñ
aa kisī din
jhūlte pul se utar kar
naqsha-e-taqvīm meñ
pur-pech kohsāroñ ke andar
jhaag uḌātī
shor kartī
bal pe bal khātī nadī meñ
ġhota-zan hoñ
tairte jā.eñ!
kisī din aa
baḌā chakkar lagā.eñ!!
kisi din aa
purani khaion ko par kar ke
daldalon mein panw rakkhen
narsalon ko kaT Dalen
pesh-e-manzar ke liye rasta banaen
aa kisi din
dhund mein jakDi hui
kanTon bhari ye baD
jis mein waqt ki bijli rawan hai
jo zamin o aasman ko
kaTti hai
bich se
us ko haTaen
aa kisi din
jhulte pul se utar kar
naqsha-e-taqwim mein
pur-pech kohsaron ke andar
jhag uDati
shor karti
bal pe bal khati nadi mein
ghota-zan hon
tairte jaen!
kisi din aa
baDa chakkar lagaen!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.