baDa sa canwas hai ye
baḌā sā canvas hai ye
bahut kuchh ho gayā hai kaam
abhī thoḌā sā baaqī hai
saare pas-manzar to puure ho chuke
stroke
dā.ere
ḳhutūt
gahrī
phīkī lakīreñ
zāviye
raushnī añdherā
abhī kuchh aur manzar haiñ
ujāgar jin ko karnā hai
hasīn-o-dilrubā dilkash
muraqqe pesh karne haiñ
zarā sā rah gayā hai kaam
vo bhī
ho hī jā.egā
baDa sa canwas hai ye
bahut kuchh ho gaya hai kaam
abhi thoDa sa baqi hai
sare pas-manzar to pure ho chuke
stroke
daere
KHutut
gahri
phiki lakiren
zawiye
raushni andhera
abhi kuchh aur manzar hain
ujagar jin ko karna hai
hasin-o-dilruba dilkash
muraqqe pesh karne hain
zara sa rah gaya hai kaam
wo bhi
ho hi jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.