baDa shahr aur tanha aadmi
december kā mahīna aur dillī kī sardī
sitāroñ kī jhilmilātī jhurmuT se pare
āsmān ke ek sunsān goshe meñ
pūnam kā TheThurtā huā koī chāñd jaise
bādaloñ meñ khātā hai mutvātir hachkole
haule haule
tanhā musāfir
aur duur tak kohre kī chādar meñ lipTī
bal khātī saḌkeñ
dhund kī ġhubār meñ khoyā huā india gate
ThanD meñ Thokareñ khātā musāfir
ḳhush nasīb hai
bādaloñ meñ ghus jaatā hai chāñd
merī christmas kī raunaqeñ phailī haiñ tamām
sitāroñ se raushan saje dhaje bāzār
lazīz khānoñ kī ḳhushbueñ jahāñ phailī haiñ har-sū
bāzār kī garm fazāoñ meñ
mai kī sarmastī meñ Duubā huā hai puure shahr kā shabāb
tanhā musāfir kī
chand roza masāfat bhī kyā shai hai yāro!
ham-vatanoñ se duur
apno se duur
jamunā taT par jaise bin māñjhī ke naav
boat club ke sard paanī meñ jaise
tairtā ruktā huā koī tanhā hubāb
tanhā musāfir sochtā hai
koī hai jis kā vo haath thaam le haule haule
koī hai jo us ke saath kuchh daur chale haule haule
dhund meñ khoī huī manzileñ
tavīl saḌkeñ
aur tanhā musāfir
jaise pūnam kā TheThurtā huā koī chāñd
bādaloñ meñ khātā hai mutvātir hachkole
haule haule
december ka mahina aur dilli ki sardi
sitaron ki jhilmilati jhurmuT se pare
aasman ke ek sunsan goshe mein
punam ka TheThurta hua koi chand jaise
baadalon mein khata hai mutwatir hachkole
haule haule
tanha musafir
aur dur tak kohre ki chadar mein lipTi
bal khati saDken
dhund ki ghubar mein khoya hua india gate
ThanD mein Thokaren khata musafir
KHush nasib hai
baadalon mein ghus jata hai chand
meri christmas ki raunaqen phaili hain tamam
sitaron se raushan saje dhaje bazar
laziz khanon ki KHushbuen jahan phaili hain har-su
bazar ki garm fazaon mein
mai ki sarmasti mein Duba hua hai pure shahr ka shabab
tanha musafir ki
chand roza masafat bhi kya shai hai yaro!
ham-watanon se dur
apno se dur
jamuna taT par jaise bin manjhi ke naw
boat club ke sard pani mein jaise
tairta rukta hua koi tanha hubab
tanha musafir sochta hai
koi hai jis ka wo hath tham le haule haule
koi hai jo us ke sath kuchh daur chale haule haule
dhund mein khoi hui manzilen
tawil saDken
aur tanha musafir
jaise punam ka TheThurta hua koi chand
baadalon mein khata hai mutwatir hachkole
haule haule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.