Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badal de

MORE BYAhmaq Phaphoondvi

    kab tak vatan-e-ālām-o-masā.ib meñ ḳhudāyā

    ab is musībat ko masarrat se badal de

    kab tak ye tabāh-e-sitam-e-nakbat dād-bār

    ab is nahūsat ko sa.ādat se badal de

    kab tak ye shikār-e-alam-e-fāqa-o-iflās

    ab us falākat ko imārat se badal de

    kab tak ye giraftār-e-qitāl-o-jadal-o-jañg

    ab is adāvat ko mohabbat se badal de

    kab tak ye pashemān-e-balā nazr-e-havādis

    ab is ke ġham-o-rañj ko rāhat se badal de

    kab tak ye parastār-e-vafā vaqf-e-ḳhushāmad

    ab is itā.at ko baġhāvat se badal de

    had ho ga.ī bas is tabāhī ḳhudāyā

    ab is ġhulāmī ko hukūmat se badal de

    kab tak watan-e-alam-o-masaib mein KHudaya

    ab is ki musibat ko masarrat se badal de

    kab tak ye tabah-e-sitam-e-nakbat dad-bar

    ab is ki nahusat ko saadat se badal de

    kab tak ye shikar-e-alam-e-faqa-o-iflas

    ab us ki falakat ko imarat se badal de

    kab tak ye giraftar-e-qital-o-jadal-o-jang

    ab is ki adawat ko mohabbat se badal de

    kab tak ye pasheman-e-bala nazr-e-hawadis

    ab is ke gham-o-ranj ko rahat se badal de

    kab tak ye parastar-e-wafa waqf-e-KHushamad

    ab is ki itaat ko baghawat se badal de

    had ho gai bas is ki tabahi ki KHudaya

    ab is ki ghulami ko hukumat se badal de

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now