badal gae ho
badal ga.e ho
zarā se arse meñ aah kaise badal ga.e ho
tumheñ ḳhabar hai
vo haath dhartī ne khā liye haiñ
jinhoñ ne apnī hatheliyoñ meñ
hamārī ḳhātir faqat duā.eñ bharī huī thiiñ
tumheñ pata hai
vo hoñT miTTī meñ jhaḌ rahe haiñ
hamāre chehroñ pe jin ke bose juḌe hue haiñ
vo āñkheñ andhī lahad meñ shāyad bikhar chukī hoñ
vo shab ga.e tak
hamārī rāhoñ meñ apnī kirneñ bikhertī thiiñ
hamāre nam ko numūd de kar
zamīñ ko apnā vajūd de kar
kahāñ ga.e ho
zamīñ ke nam meñ hamāre paikar pighal ga.e haiñ
badal ga.e ho to aao dekho
ki ham bhī kitne badal ga.e haiñ
duā.eñ miTTī meñ gir paḌī haiñ
ḳhudā se kaisī shikāyateñ hoñ
charāġh sāñsoñ ne phūñk Daalā
havā se kaisī shikāyateñ hoñ jo ghar meñ Thahreñ to ḳhauf aa.e
ki apne paikar haiñ saa.e saa.e
safar pe nikleñ to rukte rukte
ki jaise ruḳhsat karegā koī
jo raah thakne lage to chupke se luuT aa.eñ
ki koī vāpas nahīñ bulātā
udaas hoñ to kise batā.eñ
gale se koī nahīñ lagā hai
jo ā.īnoñ se ulajh paḌeñ to
ye kaun pūchhe ki kyā huā hai
jo tum ne badlā hai ruup aisā
to ham bhī vaise nahīñ rahe haiñ
nahīñ rahe ho to ham bhī rahte haiñ yuuñ ki
jaise nahīñ rahe haiñ
badal gae ho
zara se arse mein aah kaise badal gae ho
tumhein KHabar hai
wo hath dharti ne kha liye hain
jinhon ne apni hatheliyon mein
hamari KHatir faqat duaen bhari hui thin
tumhein pata hai
wo honT miTTi mein jhaD rahe hain
hamare chehron pe jin ke bose juDe hue hain
wo aankhen andhi lahad mein shayad bikhar chuki hon
wo shab gae tak
hamari rahon mein apni kirnen bikherti thin
hamare nam ko numud de kar
zamin ko apna wajud de kar
kahan gae ho
zamin ke nam mein hamare paikar pighal gae hain
badal gae ho to aao dekho
ki hum bhi kitne badal gae hain
duaen miTTi mein gir paDi hain
KHuda se kaisi shikayaten hon
charagh sanson ne phunk Dala
hawa se kaisi shikayaten hon jo ghar mein Thahren to KHauf aae
ki apne paikar hain sae sae
safar pe niklen to rukte rukte
ki jaise ruKHsat karega koi
jo rah thakne lage to chupke se luT aaen
ki koi wapas nahin bulata
udas hon to kise bataen
gale se koi nahin laga hai
jo aainon se ulajh paDen to
ye kaun puchhe ki kya hua hai
jo tum ne badla hai rup aisa
to hum bhi waise nahin rahe hain
nahin rahe ho to hum bhi rahte hain yun ki
jaise nahin rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.