badal li beach safar mein
badal lī beach safar meñ hī raah aap ne bhī
ki zar kī chhāñv meñ le lī panāh aap ne bhī
mirī umiid ko ik din ujaḌ hī jaanā thā
ḳhud apnī zaat kyoñ kar lī tabāh aap ne bhī
bajā ki ishq bhī kuchh kuchh thā maslahat kā shikār
havā ke ruḳh kī tarah kī hai chaah aap ne bhī
kabhī to dhaḌkaneñ dil kī sunā.ī detī thiiñ
sunī na jag kī tarah aaj aah aap ne bhī
radīf qāfiye sab aap ke liye the mire
magar na bhuul ke kī vaah vaah aap ne bhī
sivā.e sidq mire paas aur kuchh bhī nahīñ
ḳharīd rakkhe haiñ jhūTe gavāh aap ne bhī
vafā.eñ aap kī sañgat pe naaz kartī thiiñ
sila vafā kā diyā hai karāh aap ne bhī
'rashīd' log to bastī ujaaḌ dete haiñ
kiyā hai dil ko dukhā kar gunāh aap ne bhī
badal li beach safar mein hi rah aap ne bhi
ki zar ki chhanw mein le li panah aap ne bhi
meri umid ko ek din ujaD hi jaana tha
KHud apni zat kyon kar li tabah aap ne bhi
baja ki ishq bhi kuchh kuchh tha maslahat ka shikar
hawa ke ruKH ki tarah ki hai chah aap ne bhi
kabhi to dhaDkanen dil ki sunai deti thin
suni na jag ki tarah aaj aah aap ne bhi
radif qafiye sab aap ke liye the mere
magar na bhul ke ki wah wah aap ne bhi
siwae sidq mere pas aur kuchh bhi nahin
KHarid rakkhe hain jhuTe gawah aap ne bhi
wafaen aap ki sangat pe naz karti thin
sila wafa ka diya hai karah aap ne bhi
'rashid' log to basti ujaD dete hain
kiya hai dil ko dukha kar gunah aap ne bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.