badalte mausam
vahī pyāre madhur alfāz mīThī ras-bharī bāteñ
vahī raushan rupahle din vahī mahkī huī rāteñ
vahī merā ye kahnā tum bahut hī ḳhūb-sūrat ho
tumhāre lab pe ye fiqara ki tum hī merī qismat ho
vahī merā purānā giit tum bin jī nahīñ saktā
meñ un hoñToñ kī pī kar ab koī mai pī nahīñ saktā
ye sab kuchh Thiik hai par is se jī ghabrā bhī jaatā hai
agar mausam na badle aadmī uktā bhī jaatā hai
kabhī yūñhī sahī maiñ aur ko apnā banā letā
tumhāre dil ko Thukrātā tumhārī bad-duā letā
kabhī maiñ bhī ye suntā tum baḌe hī be-muravvat ho
kabhī meñ bhī ye kahtā tum to sar-tā-pā himāqat ho
ab aao ye bhī kar dekheñ to jiine kā mazā aa.e
koī khiḌkī khule is ghar kī aur taaza havā aa.e
wahi pyare madhur alfaz miThi ras-bhari baaten
wahi raushan rupahle din wahi mahki hui raaten
wahi mera ye kahna tum bahut hi KHub-surat ho
tumhaare lab pe ye fiqara ki tum hi meri qismat ho
wahi mera purana git tum bin ji nahin sakta
mein un honTon ki pi kar ab koi mai pi nahin sakta
ye sab kuchh Thik hai par is se ji ghabra bhi jata hai
agar mausam na badle aadmi ukta bhi jata hai
kabhi yunhi sahi main aur ko apna bana leta
tumhaare dil ko Thukraata tumhaari bad-dua leta
kabhi main bhi ye sunta tum baDe hi be-murawwat ho
kabhi mein bhi ye kahta tum to sar-ta-pa himaqat ho
ab aao ye bhi kar dekhen to jine ka maza aae
koi khiDki khule is ghar ki aur taza hawa aae
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 154)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.