badalte mausamon ki mahak
tum apne safar kī hadoñ se
bahut duur aage nikal to chuke ho
magar rāste ke manāzir
badalte hue mausamoñ kī mahak
lamha lamha pighaltī huī sā.atoñ par
kabhī tum ne thoḌī
tavajjoh bhī dī hai
yahāñ chand sachchā.iyāñ
kuchh bhayānak pahāḌoñ ke saa.e meñ
sargoshiyāñ kar rahī haiñ
vahāñ dhīre dhīre ubharte hue
surḳh sūraj kī kirnoñ kī āġhosh meñ
jal rahī haiñ
ḳhudā ke liye
dhaan ke khet meñ aadmī kī masarrat na DhūñDo
vahāñ kuchh nahīñ hai
faqat gande paanī kī har aan baḌhtī huī
nāliyāñ haiñ
ta.affun ġhalāzat se dam ghuT rahā hai
magar kār-ḳhānoñ meñ har roz
ik aadmī kī kamī ho rahī hai
bhalā aadmī se ziyāda
vafādār mazbūt nemul-badal
dar-haqīqat koī hai
ye gutthī agar yūñhī uljhī rahegī
to phir shor-o-shar meñ
izāfe kī taujīh
kyā kar sakoge
tum apne safar ki hadon se
bahut dur aage nikal to chuke ho
magar raste ke manazir
badalte hue mausamon ki mahak
lamha lamha pighalti hui saaton par
kabhi tum ne thoDi
tawajjoh bhi di hai
yahan chand sachchaiyan
kuchh bhayanak pahaDon ke sae mein
sargoshiyan kar rahi hain
wahan dhire dhire ubharte hue
surKH suraj ki kirnon ki aaghosh mein
jal rahi hain
KHuda ke liye
dhan ke khet mein aadmi ki masarrat na DhunDo
wahan kuchh nahin hai
faqat gande pani ki har aan baDhti hui
naliyan hain
taffun ghalazat se dam ghuT raha hai
magar kar-KHanon mein har roz
ek aadmi ki kami ho rahi hai
bhala aadmi se ziyaada
wafadar mazbut nemul-badal
dar-haqiqat koi hai
ye gutthi agar yunhi uljhi rahegi
to phir shor-o-shar mein
izafe ki taujih
kya kar sakoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.