badan-darida ruhon ke nam ek nazm
ḳhvāboñ se tahī be-nūr āñkheñ
har shaam na.e manzar chāheñ
bechain badan pyāsī rūheñ
har aan na.e paikar chāheñ
bebāk lahū
an-dekhe sapnoñ kī ḳhātir
jaane anjāne rastoñ par
kuchh naqsh banānā chāhtā hai
banjar pāmāl zamīnoñ meñ
kuchh phuul khilānā chāhtā hai
yuuñ naqsh kahāñ ban paate haiñ
yuuñ phuul kahāñ khilne vaale
in badan-darīda rūhoñ ke
yuuñ chaak kahāñ silne vaale
bebāk lahū ko hurmat ke ādāb sikhāne paḌte haiñ
tab miTTī mauj meñ aatī hai
tab ḳhvāb ke ma.anī bante haiñ
tab ḳhushbū rañg dikhātī hai
KHwabon se tahi be-nur aankhen
har sham nae manzar chahen
bechain badan pyasi ruhen
har aan nae paikar chahen
bebak lahu
an-dekhe sapnon ki KHatir
jaane anjaane raston par
kuchh naqsh banana chahta hai
banjar pamal zaminon mein
kuchh phul khilana chahta hai
yun naqsh kahan ban pate hain
yun phul kahan khilne wale
in badan-darida ruhon ke
yun chaak kahan silne wale
bebak lahu ko hurmat ke aadab sikhane paDte hain
tab miTTi mauj mein aati hai
tab KHwab ke mani bante hain
tab KHushbu rang dikhati hai
- Book : Kitab-e-Dil-O-Dunya (Pg. 526)
- Author : Iftikhar Arif
- Publication : Pakistan Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.